Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tulu-e-aftab

Ameer Aurangabadi

tulu-e-aftab

Ameer Aurangabadi

MORE BYAmeer Aurangabadi

    jo sub.h ne bañsarī bajā.e havā.eñ karvaT badal rahī haiñ

    vasī.a dariyā halkī maujeñ taḌap rahī haiñ uchhal rahī haiñ

    dhulā huā narm narm sabza zamīñ ke siine se uTh rahā hai

    havā ke jhoñkoñ se mast ho ho ke nannhī shāḳheñ machal rahī haiñ

    udhar jo dariyā haiñ gungunāte idhar parinde haiñ chahchahāte

    sadā.eñ beloñ ghanTiyoñ surīle naġhmoñ meñ Dhal rahī haiñ

    paḌī hai aalam meñ ek halchal chaman chaman ho rahī haiñ dhūmeñ

    ufuq ke aivān-e-ātishīñ se sunahrī kirneñ nikal rahī haiñ

    ye kis aamad hai ishāra ki nuur har-sū baras rahā hai

    ye kis ke jalve ke dekhne ko jahān saarā taras rahā hai

    2

    ai mehr-e-tābāñ nikal ke bāhar udaas ġhunchoñ ko to hañsā de

    zamīn bārish se hai fasurda pakaḌ ke shāna zarā hilā de

    lagī hai terī aas sab ko amiir huuñ faqīr bekas

    jo qasr-e-shāhī ko jagmagā de to jhopḌe ko jhalak dikhā de

    chamak chamak ai nigār-e-getī ki hai paiġhām zindagī

    ras apnī kirnoñ khīñch kar ab pilā de ik jaam zindagī

    jo subh ne bansari bajae hawaen karwaT badal rahi hain

    wasia dariya ki halki maujen taDap rahi hain uchhal rahi hain

    dhula hua narm narm sabza zamin ke sine se uTh raha hai

    hawa ke jhonkon se mast ho ho ke nannhi shaKHen machal rahi hain

    udhar jo dariya hain gungunate idhar parinde hain chahchahate

    sadaen belon ki ghanTiyon ki surile naghmon mein Dhal rahi hain

    paDi hai aalam mein ek halchal chaman chaman ho rahi hain dhumen

    ufuq ke aiwan-e-atishin se sunahri kirnen nikal rahi hain

    ye kis ki aamad ka hai ishaara ki nur har-su baras raha hai

    ye kis ke jalwe ke dekhne ko jahan sara taras raha hai

    2

    ai mehr-e-taban nikal ke bahar udas ghunchon ko to hansa de

    zamin barish se hai fasurda pakaD ke shana zara hila de

    lagi hai teri hi aas sab ko amir hun ya faqir bekas

    jo qasr-e-shahi ko jagmaga de to jhopDe ko jhalak dikha de

    chamak chamak ai nigar-e-geti ki tu hai paigham zindagi ka

    ras apni kirnon ka khinch kar ab pila de ek jam zindagi ka

    Source:

    Man ki Bansuri (Pg. 13)

    • Author: Ameer Aurangabadi
      • Edition: 1930
      • Publisher: Matba Ahad Aafrin, Deccan
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now