Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu agar sair ko nikle

Josh Malihabadi

tu agar sair ko nikle

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e

    surma.ī shaal Daale hue māthe pe sirā

    baal khole hue sandal lagā.e Tiikā

    yuuñ jo hañstī huī sub.h ko aa jaa.e zarā

    bāġh-e-kashmīr ke phūloñ ko achambhā ho jaa.e

    agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e

    le ke añgḌā.ī jo ghaaT pe badle pahlū

    chaltā phirtā nazar aa jaa.e nadī par jaadū

    jhuk ke muñh apnā jo gañgā meñ zarā dekh le

    nithre paanī mazā aur bhī mīThā ho jaa.e

    agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e

    sub.h ke rañg ne baḳhshā hai vo mukhḌā tujh ko

    shaam chhāñv ne sauñpā hai vo joḌā tujh ko

    ki kabhī paas se dekhe jo himāla tujh ko

    is tire qad qasam aur bhī ūñchā ho jaa.e

    agar sair ko nikle to ujālā ho jaa.e

    tu agar sair ko nikle to ujala ho jae

    surmai shaal ka Dale hue mathe pe sira

    baal khole hue sandal ka lagae Tika

    yun jo hansti hui tu subh ko aa jae zara

    bagh-e-kashmir ke phulon ko achambha ho jae

    tu agar sair ko nikle to ujala ho jae

    le ke angDai jo tu ghaT pe badle pahlu

    chalta phirta nazar aa jae nadi par jadu

    jhuk ke munh apna jo ganga mein zara dekh le tu

    nithre pani ka maza aur bhi miTha ho jae

    tu agar sair ko nikle to ujala ho jae

    subh ke rang ne baKHsha hai wo mukhDa tujh ko

    sham ki chhanw ne saunpa hai wo joDa tujh ko

    ki kabhi pas se dekhe jo himala tujh ko

    is tere qad ki qasam aur bhi uncha ho jae

    tu agar sair ko nikle to ujala ho jae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now