Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bhi aisa sochti hogi

Anwar Fitrat

tu bhi aisa sochti hogi

Anwar Fitrat

MORE BYAnwar Fitrat

    vaqt ne ham ko kis raste par Daalā hai

    donoñ

    ik an-chāhī ham-rāhī suulī le kar

    bojhal bojhal paañv dharte jaa.eñ chalte jaa.eñ

    bhī āḳhir insāñ hai

    tere paas bhī armānoñ resham hogā

    kabhī kabhī to bhī dard suuī le kar

    koī lamha kāḌhtī hogī

    chalte chalte kabhī kabhī koī bhīgā pul

    ga.e dinoñ ke bahr meñ tujh ko jal-thal karnā hogā

    mere paas bhī ḳhvāboñ

    kuchh dhajjiyāñ baaqī haiñ

    maiñ bhī akasr chalte chalte kho jaatā huuñ

    in dhajjiyoñ ko joḌtā rahtā huuñ

    ḳhud ko in meñ DhūñDhtā rahtā huuñ

    kabhī kabhī bistar meñ leTe

    maiñ ne apne aur tire mābain

    aise aise lā-mutanāhī dariyā haa.el dekhe haiñ

    jin par kisī bhī rishte koī pul nahīñ banñe paatā

    ik aisī majbūr hamdardī Dorī meñ

    ham donoñ bañdhe hue haiñ

    jis meñ ham ne samjhautoñ

    kitnī gāñTheñ Daal rakhī haiñ

    vaqt jabr bhī kaisā hai

    tujh ko ''tū'' nahīñ rahne detā

    mujh ko ''maiñ'' nahīñ hone detā

    jismoñ yakjā.ī kahīñ kartā hai

    rūheñ aur kahīñ chhoḌ aatā hai

    waqt ne hum ko kis raste par la Dala hai

    donon

    ek an-chahi ham-rahi ki suli le kar

    bojhal bojhal panw dharte jaen chalte jaen

    tu bhi aaKHir insan hai

    tere pas bhi armanon ka resham hoga

    kabhi kabhi to tu bhi dard ki sui le kar

    koi lamha kaDhti hogi

    chalte chalte kabhi kabhi koi bhiga pul

    gae dinon ke bahr mein tujh ko jal-thal karna hoga

    mere pas bhi KHwabon ki

    kuchh dhajjiyan baqi hain

    main bhi akasr chalte chalte kho jata hun

    in dhajjiyon ko joDta rahta hun

    KHud ko in mein DhunDhta rahta hun

    kabhi kabhi bistar mein leTe

    main ne apne aur tere mabain

    aise aise la-mutanahi dariya hael dekhe hain

    jin par kisi bhi rishte ka koi pul nahin banne pata

    ek aisi majbur si hamdardi ki Dori mein

    hum donon bandhe hue hain

    jis mein hum ne samjhauton ki

    kitni ganThen Dal rakhi hain

    waqt ka jabr bhi kaisa hai

    tujh ko tu nahin rahne deta

    mujh ko main nahin hone deta

    jismon ki yakjai kahin karta hai

    ruhen aur kahin chhoD aata hai

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 75)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Issue No. 4, Jan To Mar.1998
      • Publisher: Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore
      • Year of Publication: Issue No. 4, Jan To Mar.1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now