aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuT baTuT ne khir pakai

Sufi Tabassum

TuT baTuT ne khir pakai

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    ḳhāla us lakḌī laa.ī

    phūphī laa.ī diyā-salā.ī

    ammī jaan ne aag jalā.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    degchī chamcha naukar laa.e

    bhaa.ī chāval shakkar laa.e

    bahneñ lā.īñ dūdh-malā.ī

    TuuT baTūT ne ḳhair pakā.ī

    abbā ne ek ekannī

    ḳhālū ne DeḌh duvannī

    TuuT baTūT ne aadhī paa.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    jūñ-hī dastarḳhvān lagāyā

    gaañv gaañv dauḌā aaya

    saarī ḳhilqat dauḌī aa.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    meñDak bhī Tarrāte aa.e

    chūhe shor machāte aa.e

    billī gaanā gaatī aa.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    kavve aa.e keñ keñ karte

    tote aa.e Teñ Teñ karte

    bulbul choñch hilātī aa.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    dhobī kuñjḌā naa.ī aaya

    pansārī halvā.ī aaya

    sab ne aa kar dhuum machā.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    gaañv bhar meñ huī laḌā.ī

    khiir kisī ke haath na aa.ī

    mere allah tirī duhā.ī

    TuuT baTūT ne khiir pakā.ī

    KHala us ki lakDi lai

    phuphi lai diya-salai

    ammi jaan ne aag jalai

    TuT baTuT ne khir pakai

    degchi chamcha naukar lae

    bhai chawal shakkar lae

    bahnen lain dudh-malai

    TuT baTuT ne KHair pakai

    abba ne di ek ekanni

    KHalu ne di DeDh duwanni

    TuT baTuT ne aadhi pai

    TuT baTuT ne khir pakai

    jun-hi dastarKHwan lagaya

    ganw ka ganw dauDa aaya

    sari KHilqat dauDi aai

    TuT baTuT ne khir pakai

    meinDak bhi Tarraate aae

    chuhe shor machate aae

    billi gana gati aai

    TuT baTuT ne khir pakai

    kawwe aae ken ken karte

    tote aae Ten Ten karte

    bulbul chonch hilati aai

    TuT baTuT ne khir pakai

    dhobi kunjDa nai aaya

    pansari halwai aaya

    sab ne aa kar dhum machai

    TuT baTuT ne khir pakai

    ganw bhar mein hui laDai

    khir kisi ke hath na aai

    mere allah teri duhai

    TuT baTuT ne khir pakai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now