Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTi lazzat ki KHushbu

Adil Mansuri

TuTi lazzat ki KHushbu

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    ġham kaalī chāñdnī

    parbatoñ choTiyoñ par so ga.ī hai

    nīche andhe ġhaar meñ

    ḳhvāhishoñ dhuup shāyad kho ga.ī hai

    ghaas bhīnī mahak ko sūñgh kar

    aur shabnam chaaT kar

    aarzū nīm-murda saañp zinda ho gayā hai

    parbatoñ par

    reñgtī pagDañDiyāñ

    bal khā rahī haiñ

    TūTtī lazzat ḳhushbū

    jism meñ lahrā rahī hai

    gham ki kali chandni

    parbaton ki choTiyon par so gai hai

    niche andhe ghaar mein

    KHwahishon ki dhup shayad kho gai hai

    ghas ki bhini mahak ko sungh kar

    aur shabnam chaT kar

    aarzu ka nim-murda sanp zinda ho gaya hai

    parbaton par

    rengti pagDanDiyan

    bal kha rahi hain

    TuTti lazzat ki KHushbu

    jism mein lahra rahi hai

    Source:

    Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 136)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now