aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unT

MORE BYIsmail Merathi

    laqq-o-daq sahrā meñ maidān meñ

    arab ke garm registān meñ

    saya-afgan hai na vaañ koī chaTān

    sard paanī na dariyā nishān

    chilchilātī dhuup hai aur chup havā

    vaañ parinda bhī nahīñ par mārtā

    vahāñ ke marhale kartā hai tai

    din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai

    qīmtī ashyā haiñ terī pusht par

    tājiroñ resham aur shāhoñ zar

    toda toda tere uupar lad rahā

    hai bharā goyā jahāz-e-pur-bahā

    chand hafte jab ki jaate haiñ guzar

    aur thakā detā hai rākib ko safar

    uuñT! ghabrātā nahīñ baar se

    dekhtā hai us jānib pyaar se

    goyā kahtā hai ki ai mere savār

    ek din aur bhī himmat na haar

    haañ na be-dil ho na raste meñ ThiThak

    saaf sar-chashma hai aage dhar lapak

    mujh ko aatī hai havā se bū-e-āb

    nā-umīdī se na kar iztirāb

    uuñT kartā hai us rahbarī

    yuuñ banā detā hai rākib ko jarī

    āḳhirash manzil pe pahuñchātā hai

    aur sūkhe ḳhār-o-ḳhas khātā hai

    sabr se kartā hai tai rāh-e-darāz

    sach kahā hai hai ḳhushkī jahāz

    al-ġharaz hai halīm o ḳhush-ḳhisāl

    tarbiyat meñ chhoTe bachchoñ misāl

    laqq-o-daq sahra mein ya maidan mein

    ya arab ke garm registan mein

    saya-afgan hai na wan koi chaTan

    sard pani ka na dariya ka nishan

    chilchilati dhup hai aur chup hawa

    wan parinda bhi nahin par marta

    tu wahan ke marhale karta hai tai

    din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai

    qimti ashya hain teri pusht par

    tajiron ka resham aur shahon ka zar

    toda toda tere upar lad raha

    hai bhara goya jahaz-e-pur-baha

    chand hafte jab ki jate hain guzar

    aur thaka deta hai rakib ko safar

    unT! ghabraata nahin tu bar se

    dekhta hai us ki jaanib pyar se

    goya kahta hai ki ai mere sawar

    ek din tu aur bhi himmat na haar

    han na be-dil ho na raste mein ThiThak

    saf sar-chashma hai aage dhar lapak

    mujh ko aati hai hawa se bu-e-ab

    na-umidi se na kar tu iztirab

    unT tu karta hai us ki rahbari

    yun bana deta hai rakib ko jari

    aaKHirash manzil pe pahunchata hai tu

    aur sukhe KHar-o-KHas khata hai tu

    sabr se karta hai tai rah-e-daraaz

    sach kaha hai tu hai KHushki ka jahaz

    al-gharaz tu hai halim o KHush-KHisal

    tarbiyat mein chhoTe bachchon ki misal

    Source:

    Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 96)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now