Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki qadr

Akhtar Shirani

waqt ki qadr

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    dāvat

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    chaman god meñ aa kar samā bhī salmā

    kalī kalī meñ bahāreñ basā bhī salmā

    mujhe junūñ sabaq phir paḌhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    mileñge hashr meñ mat kah ye baar baar mujhe

    ho kaise hashr ke va.ade pe e'tibār mujhe

    ḳhudā ke dil pe nahīñ koī iḳhtiyār mujhe

    ḳhudā ko maan yahīñ hashr uThā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    nashāt-e-umr ko ummīd par nisār na kar

    visāl-e-sub.h-e-qayāmat intizār na kar

    riyāz-e-ḳhuld bātoñ e'tibār na kar

    fareb vāda-e-fardā miTā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    kise ḳhabar hai qayāmat meñ ham mileñ na mileñ

    fazā-e-rauz-e-jannat meñ ham mileñ na mileñ

    kashākash-e-abadiyyat meñ ham mileñ na mileñ

    kashākash-e-abadiyyat bhulā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    gañvā na sog meñ apne shabāb rāteñ

    nazar na ā.eñgī phir māhtāb rāteñ

    ye nik.hatoñ hujūm aur ye ḳhvāb rāteñ

    fazā meñ ḳhvāb-e-hasīñ ban ke chhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    ḳhabar le jald ki umr-e-azīz faanī hai

    sarā-e-dahr har chiiz ānī-jānī hai

    ba-rañg-e-abr-e-ravāñ fasl-e-naujavānī hai

    chhalakne vaalā hai sāġhar pilā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    kise ḳhabar ye ghaTā.eñ raheñ raheñ na raheñ

    ye nik.hateñ ye havā.eñ raheñ raheñ na raheñ

    ye mastiyāñ ye fazā.eñ raheñ raheñ na raheñ

    sharāb-e-vasl sāġhar pilā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    sabāt-e-ahd zamāne meñ kisī ne paayā hai

    zamāna rañg badalne ko rañg laayā hai

    bahār-e-umr-e-ravāñ bādaloñ saayā hai

    bahār-e-umr ḳhushiyāñ manā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    tire ḳhayāl ko dil meñ basā.e baiThe haiñ

    ḳhudā.ī ho ki ḳhudā ho bhulā.e baiThe haiñ

    surūr-e-ahd-e-javānī luTā.e baiThe haiñ

    aa ke qadr-e-javānī sikhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    ye fasl aur ye bahāreñ nazar na ā.eñgī phir

    ye bādaloñ qatāreñ nazar na ā.eñgī phir

    ye halkī halkī phuvāreñ nazar na ā.eñgī phir

    sharāb-e-aish-e-masarrat luñDhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    batā kyā ye nazāre ujaḌ na jā.eñge

    ye naddiyāñ ye kināre ujaḌ na jā.eñge

    ye chāñd aur ye kināre ujaḌ na jā.eñge

    sitāra-vār shuā.eñ luTā bhī bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    ġhamoñ pe haiñ fidā shādmāniyāñ ham ne

    ḳhudā ke naam pe taj diiñ javāniyāñ ham ne

    guzār haiñ yūñhī zindagāniyāñ ham ne

    dam-e-aḳhīr ġham se chhuḌā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    fanā-nasīb haiñ ye sabza-zār ke manzar

    ye kohsār dil-e-jūebār ke manzar

    nazar na ā.eñge phir ye bahār ke manzar

    abhī samāñ hai bahāreñ dikhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    ḳhabar le jald ki bahkī huī bahār hai aaj

    nashāt-e-ḳhuld se ma.amūr sabza-zār hai aaj

    ajal pe bhī mirī hastī ko iḳhtiyār hai aaj

    ġhurūr-e-ishq himmat baḌhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    hukm de to sitāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ

    falak se us ke nazāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ

    iram mast bahāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ

    ḳhudā.ī ko ye tamāshā dikhā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    sāmne ho to kaun-o-makāñ ko gum kar duuñ

    ḳham-e-tarab meñ ḳham-e-āsmāñ ko gum kar duuñ

    duī ho fard to donoñ jahāñ ko gum kar duuñ

    ba-rañg-e-rūh badan meñ samā bhī salmā

    bahār bītne vaalī hai aa bhī salmā

    dawat

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    chaman ki god mein aa kar sama bhi ja salma

    kali kali mein bahaaren basa bhi ja salma

    mujhe junun ka sabaq phir paDha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    milenge hashr mein mat kah ye bar bar mujhe

    ho kaise hashr ke wade pe e'tibar mujhe

    KHuda ke dil pe nahin koi iKHtiyar mujhe

    KHuda ko man yahin hashr uTha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    nashat-e-umr ko ummid par nisar na kar

    visal-e-subh-e-qayamat ka intizar na kar

    riyaz-e-KHuld ki baaton ka e'tibar na kar

    fareb wada-e-farda miTa bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    kise KHabar hai qayamat mein hum milen na milen

    faza-e-rauz-e-jannat mein hum milen na milen

    kashakash-e-abadiyyat mein hum milen na milen

    kashakash-e-abadiyyat bhula bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    ganwa na sog mein apne shabab ki raaten

    nazar na aaengi phir mahtab ki raaten

    ye nikhaton ka hujum aur ye KHwab ki raaten

    faza mein KHwab-e-hasin ban ke chha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    KHabar le jald ki umr-e-aziz fani hai

    sara-e-dahr ki har chiz aani-jaani hai

    ba-rang-e-abr-e-rawan fasl-e-naujawani hai

    chhalakne wala hai saghar pila bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    kise KHabar ye ghaTaen rahen rahen na rahen

    ye nikhaten ye hawaen rahen rahen na rahen

    ye mastiyan ye fazaen rahen rahen na rahen

    sharab-e-wasl ka saghar pila bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    sabaat-e-ahd zamane mein kisi ne paya hai

    zamana rang badalne ko rang laya hai

    bahaar-e-umr-e-rawan baadalon ka saya hai

    bahaar-e-umr ki KHushiyan mana bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    tere KHayal ko dil mein basae baiThe hain

    KHudai ho ki KHuda ho bhulae baiThe hain

    surur-e-ahd-e-jawani luTae baiThe hain

    tu aa ke qadr-e-jawani sikha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    ye fasl aur ye bahaaren nazar na aaengi phir

    ye baadalon ki qataren nazar na aaengi phir

    ye halki halki phuwaren nazar na aaengi phir

    sharab-e-aish-e-masarrat lunDha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    bata tu kya ye nazare ujaD na jaenge

    ye naddiyan ye kinare ujaD na jaenge

    ye chand aur ye kinare ujaD na jaenge

    sitara-war shuaen luTa bhi bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    ghamon pe ki hain fida shadmaniyan hum ne

    KHuda ke nam pe taj din jawaniyan hum ne

    guzar di hain yunhi zindaganiyan hum ne

    dam-e-aKHir tu gham se chhuDa bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    fana-nasib hain ye sabza-zar ke manzar

    ye kohsar dil-e-juebar ke manzar

    nazar na aaenge phir ye bahaar ke manzar

    abhi saman hai bahaaren dikha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    KHabar le jald ki bahki hui bahaar hai aaj

    nashat-e-KHuld se mamur sabza-zar hai aaj

    ajal pe bhi meri hasti ko iKHtiyar hai aaj

    ghurur-e-ishq ki himmat baDha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    tu hukm de to sitaron ko chhin laun main

    falak se us ke nazaron ko chhin laun main

    iram ki mast bahaaron ko chhin laun main

    KHudai ko ye tamasha dikha bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    tu samne ho to kaun-o-makan ko gum kar dun

    KHam-e-tarab mein KHam-e-asman ko gum kar dun

    dui ho fard to donon jahan ko gum kar dun

    ba-rang-e-ruh badan mein sama bhi ja salma

    bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

    Source:

    kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 169)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now