Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

visal

MORE BYMustafa Zaidi

    vo nahīñ thī to dil ik shahr-e-vafā thā jis meñ

    us ke hoñToñ ke tasavvur se tapish aatī thī

    us ke inkār pe bhī phuul khile rahte the

    us ke anfās se bhī sham.a jalī jaatī thī

    din is ummīd pe kaTtā thā ki din Dhalte

    us ne kuchh der ko mil lene mohlat hai

    uñgliyāñ barq-zadā rahtī thiiñ jaise us ne

    apne ruḳhsāroñ ko chhūne ijāzat hai

    us se ik lamha alag rah ke junūñ hotā thā

    meñ thī us ko na pā.eñge to mar jā.eñge

    vo nahīñ hai to ye be-nūr zamāna kyā hai

    tīrgī meñ kise DhūñDeñge kidhar jā.eñge

    phir huā ye ki usī aag aisī rau meñ

    ham to jalte the magar us nasheman bhī jalā

    bijliyāñ jis kanīzoñ meñ rahā kartī thiiñ

    dekhne vāloñ ne dekhā ki vo ḳhirman bhī jalā

    ik zulaiḳhā-e-ḳhud-āgāh dāman bhī jalā

    wo nahin thi to dil ek shahr-e-wafa tha jis mein

    us ke honTon ke tasawwur se tapish aati thi

    us ke inkar pe bhi phul khile rahte the

    us ke anfas se bhi shama jali jati thi

    din is ummid pe kaTta tha ki din Dhalte hi

    us ne kuchh der ko mil lene ki mohlat di hai

    ungliyan barq-zada rahti thin jaise us ne

    apne ruKHsaron ko chhune ki ijazat di hai

    us se ek lamha alag rah ke junun hota tha

    ji mein thi us ko na paenge to mar jaenge

    wo nahin hai to ye be-nur zamana kya hai

    tirgi mein kise DhunDenge kidhar jaenge

    phir hua ye ki usi aag ki aisi rau mein

    hum to jalte the magar us ka nasheman bhi jala

    bijliyan jis ki kanizon mein raha karti thin

    dekhne walon ne dekha ki wo KHirman bhi jala

    ek zulaiKHa-e-KHud-agah ka daman bhi jala

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 157)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now