Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo zinda hai

Salam Machhli shahri

wo zinda hai

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    gulābī daur meñ

    vo apne fan shāhzāda thā

    fazā-e-āriz-o-chashm-o-lab-o-gesū shaidā.ī

    vo uryāñ

    nīm-uryāñ jism qaus-e-quzah

    un ta.assur

    un bijlī

    apnī tasvīroñ meñ bhartā thā

    hasīnoñ ke diloñ meñ vo thā

    ḳhud bhī un pe martā thā

    use us daur meñ

    izzat milī

    daulat milī lekin

    dil-e-rūmān-parvar meñ

    koī sho.ala bhī mahsūs kartā thaa!

    2

    musavvir ke naate

    us ''shash-pahlū'' tasavvur

    ek sho.ala thā

    ki jis ne fan vo pichhlā tasavvur ḳhaak kar Daalā

    vo tasvīroñ meñ

    tajrīdī tasavvur zindagānī

    baḌī ḳhūbī se bhartā thā

    dikhā.ī dene vaalā ik nayā sañgīt detā thā

    3

    vo janib-dār thā

    aur saaf kahtā thā

    ki jab insāniyat

    tahzīb

    aur ālā-tarīn qadreñ

    ghirī hoñ saḳht ḳhatroñ meñ

    to ik fankār par bhī ye batānā farz hotā hai

    ki vo kis taraf hai

    fan us se kyā taqāzā hai

    4

    ''pikāso'' mar gayā

    ye sog hai lekin

    ''pikāso'' ab bhī zinda hai

    vo apne shah-kāroñ meñ

    usī andāz se khoyā huā hai

    aur kahtā hai:

    maiñ zinda huuñ

    diloñ ke dard ko

    bechainiyoñ ko

    iztiraاbiyoñ

    aur aahoñ ko

    kahīñ ik ''manzil-e-zinda'' se pahle maut aatī hai

    gulabi daur mein

    wo apne fan ka shahzada tha

    faza-e-ariz-o-chashm-o-lab-o-gesu ka shaidai

    wo uryan

    nim-uryan jism ki qaus-e-quzah

    un ka tassur

    un ki bijli

    apni taswiron mein bharta tha

    hasinon ke dilon mein wo tha

    KHud bhi un pe marta tha

    use us daur mein

    izzat mili

    daulat mili lekin

    dil-e-ruman-parwar mein

    koi shoala sa bhi mahsus karta tha!

    2

    musawwir hi ke nate

    us ka shash-pahlu tasawwur

    ek shoala tha

    ki jis ne fan ka wo pichhla tasawwur KHak kar Dala

    wo taswiron mein

    tajridi tasawwur zindagani ka

    baDi KHubi se bharta tha

    dikhai dene wala ek naya sangit deta tha

    3

    wo janib-dar tha

    aur saf kahta tha

    ki jab insaniyat

    tahzib

    aur aala-tarin qadren

    ghiri hon saKHt KHatron mein

    to ek fankar par bhi ye batana farz hota hai

    ki wo kis ki taraf hai

    fan ka us se kya taqaza hai

    4

    pikaso mar gaya

    ye sog hai lekin

    pikaso ab bhi zinda hai

    wo apne shah-karon mein

    usi andaz se khoya hua hai

    aur kahta hai:

    main zinda hun

    dilon ke dard ko

    bechainiyon ko

    iztiraاbiyon

    aur aahon ko

    kahin ek manzil-e-zinda se pahle maut aati hai

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 166)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now