Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad hai

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    kheltā thā jab laḌakpan se tirā rañgīñ shabāb

    haT rahī thī māh-e-ālam-tāb ke ruḳh se naqqāb

    zindagī thī husn-e-nau āġhāz rañgīn ḳhvāb

    yaad hai vo naujavānī zamāna yaad hai

    jab ki sāz-e-zindagī naġhmāt se ma.amūr thā

    zarra zarra mere dil ḳhaak jab tuur thā

    maiñ akelā nahīñ saarā jahāñ masrūr thā

    yaad hai vo naujavānī zamāna yaad hai

    kheltī thī naujavānī jab ki bāñhoñ meñ tirī

    zindagī bārisheñ thiiñ jalva-gāhoñ meñ tirī

    raqs kartī thiiñ tamannā.eñ nigāhoñ meñ tirī

    yaad hai vo naujavānī zamāna yaad hai

    har adā-e-husn par hotā thā dil jab be-qarār

    jab rahā kartā mulāqātoñ bāham intizār

    jab tabī.at tujh se milnā chāhtī thī baar baar

    yaad hai vo naujavānī zamāna yaad hai

    raat bhar sone na detī thī masarrat iid

    jabki rahtī thī diloñ meñ be-qarārī diid

    māhtāb-e-īd bin jaatī kiran ḳhurshīd

    yaad hai vo naujavānī zamāna yaad hai

    raat aatī thī sunāne soz paiġhām jab

    mashq-e-tahrīr-e-junūñ bantā thā terā naam jab

    thā na kuchh pesh-e-nazar is ishq anjām jab

    yaad hai vo naujavānī zamāna yaad hai

    khelta tha jab laDakpan se tera rangin shabab

    haT rahi thi mah-e-alam-tab ke ruKH se naqqab

    zindagi thi husn-e-nau aaghaz ka rangin KHwab

    yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai

    jab ki saz-e-zindagi naghmat se mamur tha

    zarra zarra mere dil ki KHak ka jab tur tha

    main akela hi nahin sara jahan masrur tha

    yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai

    khelti thi naujawani jab ki banhon mein teri

    zindagi ki barishen thin jalwa-gahon mein teri

    raqs karti thin tamannaen nigahon mein teri

    yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai

    har ada-e-husn par hota tha dil jab be-qarar

    jab raha karta mulaqaton ka baham intizar

    jab tabiat tujh se milna chahti thi bar bar

    yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai

    raat bhar sone na deti thi masarrat id ki

    jabki rahti thi dilon mein be-qarari did ki

    mahtab-e-id bin jati kiran KHurshid ki

    yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai

    raat aati thi sunane soz ka paigham jab

    mashq-e-tahrir-e-junun banta tha tera nam jab

    tha na kuchh pesh-e-nazar is ishq ka anjam jab

    yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai

    Source:

    Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 108)

    • Author: Makhdum Muhi-ud-din
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot(p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now