Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad

MORE BYMustafa Zaidi

    raat oḌhe hue aa.ī hai faqīroñ libās

    chāñd kashkol-e-gadā.ī tarah nādim hai

    ek ik saañs kisī naam ke saath aatī hai

    ek ik lamha-e-āzād nafas mujrim hai

    kaun ye vaqt ke ghūñghaT se bulātā hai mujhe

    kis ke maḳhmūr ishāre haiñ ghaTāoñ ke qarīb

    kaun aayā hai chaḌhāne ko tamannāoñ ke phuul

    in sulagte hue lamhoñ chitāoñ ke qarīb

    vo to tūfān thii, sailāb ne paalā thā use

    us mad.hosh umañgoñ fusūñ kyā kahiye

    thartharāte hue sīmāb tafsīr bhī kyā

    raqs karte hue sho.ale junūñ kyā kahiye

    raqs ab ḳhatm huā maut vaadī meñ magar

    kisī paa.el sadā ruuh meñ tābinda hai

    chhup gayā apne nihāñ-ḳhāne meñ sūraj lekin

    dil meñ sūraj ik āvāra kiran zinda hai

    kaun jaane ki ye āvāra kiran bhī chhup jaa.e

    kaun jaane ki idhar dhund bādal na chhaTe

    kis ko ma.alūm ki paa.el sadā bhī kho jaa.e

    kis ko ma.alūm ki ye raat bhī kaaTe na kaTe

    zindagī niiñd meñ Duube hue mandir tarah

    ahd-e-rafta ke har ik but ko liye suutī hai

    ghanTiyāñ ab bhī magar bajtī haiñ siine ke qarīb

    ab bhī pichhle ko, ka.ī baar sahar hotī hai

    raat oDhe hue aai hai faqiron ka libas

    chand kashkol-e-gadai ki tarah nadim hai

    ek ek sans kisi nam ke sath aati hai

    ek ek lamha-e-azad nafas mujrim hai

    kaun ye waqt ke ghunghaT se bulata hai mujhe

    kis ke maKHmur ishaare hain ghaTaon ke qarib

    kaun aaya hai chaDhane ko tamannaon ke phul

    in sulagte hue lamhon ki chitaon ke qarib

    wo to tufan thi, sailab ne pala tha use

    us ki madhosh umangon ka fusun kya kahiye

    thartharaate hue simab ki tafsir bhi kya

    raqs karte hue shoale ka junun kya kahiye

    raqs ab KHatm hua maut ki wadi mein magar

    kisi pael ki sada ruh mein tabinda hai

    chhup gaya apne nihan-KHane mein suraj lekin

    dil mein suraj ki ek aawara kiran zinda hai

    kaun jaane ki ye aawara kiran bhi chhup jae

    kaun jaane ki idhar dhund ka baadal na chhaTe

    kis ko malum ki pael ki sada bhi kho jae

    kis ko malum ki ye raat bhi kaTe na kaTe

    zindagi nind mein Dube hue mandir ki tarah

    ahd-e-rafta ke har ek but ko liye suti hai

    ghanTiyan ab bhi magar bajti hain sine ke qarib

    ab bhi pichhle ko, kai bar sahar hoti hai

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 99)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now