Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yagangat

Meeraji

yagangat

Meeraji

MORE BYMeeraji

    zamāne meñ koī burā.ī nahīñ hai

    faqat ik tasalsul jhūlā ravāñ hai

    ye maiñ kah rahā huuñ

    maiñ koī burā.ī nahīñ huuñ zamāna nahīñ huuñ tasalsul jhūlā nahīñ huuñ

    mujhe kyā ḳhabar kyā burā.ī meñ hai kyā zamāne meñ hai aur phir maiñ to ye bhī kahūñgā

    ki jo shai akelī rahe us manzil fanā fanā hai

    burā.ī bhalā.ī zamāna tasalsul ye bāteñ baqā ke gharāne se aa.ī huī haiñ

    mujhe to kisī bhī gharāne se koī ta.alluq nahīñ hai

    maiñ huuñ ek aur maiñ akelā huuñ ek ajnabī huuñ

    ye bastī ye jañgal ye bahte hue raste aur dariyā

    ye parbat achānak nigāhoñ meñ aatī huī koī ūñchī imārat

    ye ujḌe hue maqbare aur marg-e-musalsal sūrat mujāvir

    ye hañste hue nanhe bachche ye gaaḌī se Takrā ke martā huā ek andhā musāfir

    havā.eñ nabātāt aur āsmāñ par udhar se udhar aate jaate hue chand bādal

    ye kyā haiñ

    yahī to zamāna hai ye ek tasalsul jhūlā ravāñ hai

    ye maiñ kah rahā huuñ

    ye bastī ye jañgal ye raste ye dariyā ye parbat imārat mujāvir musāfir

    havā.eñ nabātāt aur āsmāñ par udhar se udhar aate jaate hue chand bādal

    ye sab kuchh ye har shai mire gharāne se aa.ī huī hai

    zamāna huuñ maiñ mere dam se an-miT tasalsul jhūlā ravāñ hai

    magar mujh meñ koī burā.ī nahīñ hai

    ye kaise kahūñ maiñ

    ki mujh meñ fanā aur baqā donoñ aa kar mile haiñ

    zamane mein koi burai nahin hai

    faqat ek tasalsul ka jhula rawan hai

    ye main kah raha hun

    main koi burai nahin hun zamana nahin hun tasalsul ka jhula nahin hun

    mujhe kya KHabar kya burai mein hai kya zamane mein hai aur phir main to ye bhi kahunga

    ki jo shai akeli rahe us ki manzil fana hi fana hai

    burai bhalai zamana tasalsul ye baaten baqa ke gharane se aai hui hain

    mujhe to kisi bhi gharane se koi talluq nahin hai

    main hun ek aur main akela hun ek ajnabi hun

    ye basti ye jangal ye bahte hue raste aur dariya

    ye parbat achanak nigahon mein aati hui koi unchi imarat

    ye ujDe hue maqbare aur marg-e-musalsal ki surat mujawir

    ye hanste hue nanhe bachche ye gaDi se Takra ke marta hua ek andha musafir

    hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal

    ye kya hain

    yahi to zamana hai ye ek tasalsul ka jhula rawan hai

    ye main kah raha hun

    ye basti ye jangal ye raste ye dariya ye parbat imarat mujawir musafir

    hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal

    ye sab kuchh ye har shai mere hi gharane se aai hui hai

    zamana hun main mere hi dam se an-miT tasalsul ka jhula rawan hai

    magar mujh mein koi burai nahin hai

    ye kaise kahun main

    ki mujh mein fana aur baqa donon aa kar mile hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Shamsur Rahman Faruqi

    yagangat Shamsur Rahman Faruqi

    Source:

    Kulliyat Meeraji (Pg. 237)

    • Author: Dr. Jameel Jalbi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Firoz sons Printers Publishers Book sales
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now