Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zawal ka din

Zahid Dar

zawal ka din

Zahid Dar

MORE BYZahid Dar

    jis din mere des miTTī

    komal miTTī

    patthar ban kar

    mahloñ aur qil.oñ ke ruup meñ Dhal jā.egī

    us din gandum jal jā.egī

    jis din mere des ke dariyāoñ paanī

    ThanDā paanī

    bijlī ban kar

    shahroñ kaalī rātoñ zīnat sāmān banegā

    us din chāñd pighal jā.egā

    jis din mere des halkī tez havā.eñ

    insānoñ ke ḳhuun se bhar jā.eñgī

    jis din khetoñ ḳhāmoshī

    bojhal dhaat āvāzoñ meñ kho jā.egī

    us din sūraj bujh jā.egā

    jīvan pagDanDī us din so jā.egī

    jis din mere des ki miTTi

    komal miTTi

    patthar ban kar

    mahlon aur qilon ke rup mein Dhal jaegi

    us din gandum jal jaegi

    jis din mere des ke dariyaon ka pani

    ThanDa pani

    bijli ban kar

    shahron ki kali raaton ki zinat ka saman banega

    us din chand pighal jaega

    jis din mere des ki halki tez hawaen

    insanon ke KHun se bhar jaengi

    jis din kheton ki KHamoshi

    bojhal dhat ki aawazon mein kho jaegi

    us din suraj bujh jaega

    jiwan ki pagDanDi us din so jaegi

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 218)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now