aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindan ki ek sham

Faiz Ahmad Faiz

zindan ki ek sham

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    shaam ke pech-o-ḳham sitāroñ se

    ziina ziina utar rahī hai raat

    yuuñ sabā paas se guzartī hai

    jaise kah kisī ne pyaar baat

    sehn-e-zindāñ ke be-vatan ashjār

    sar-nigūñ mahv haiñ banāne meñ

    dāman-e-āsmāñ pe naqsh-o-nigār

    shāna-e-bām par damaktā hai

    mehrbāñ chāñdnī dast-e-jamīl

    ḳhaak meñ ghul ga.ī hai āb-e-nujūm

    nuur meñ ghul gayā hai arsh niil

    sabz goshoñ meñ nīl-gūñ saa.e

    lahlahāte haiñ jis tarah dil meñ

    mauj-e-dard-e-firāq-e-yār aa.e

    dil se paiham ḳhayāl kahtā hai

    itnī shīrīñ hai zindagī is pal

    zulm zahr gholne vaale

    kāmrāñ ho sakeñge aaj na kal

    jalva-gāh-e-visāl sham.eñ

    vo bujhā bhī chuke agar to kyā

    chāñd ko gul kareñ to ham jāneñ

    A Prison Nightfall

    The night descends

    step by silent step

    down the stairway of stars.

    The breeze goes by me

    like a kindly whispered phrase.

    The homeless trees of the prison yard

    Are absorbed making patterns

    against the sky.

    On the roof’s high crest

    the loving hand of moonlight rest.

    The starry river is drowned in dust

    and the sky glows silver with moonlight.

    In the dark foliage

    shadows play with the wind

    as a wave of painful loss

    invades the heart.

    Defiantly, a thought tells me

    how sweet life is at this instant:

    Those who brew the poison of cruelty

    will not win, tomorrow or today.

    They can put out the lamps

    where lovers meet;

    they cannot blind the moon!

    sham ke pech-o-KHam sitaron se

    zina zina utar rahi hai raat

    yun saba pas se guzarti hai

    jaise kah di kisi ne pyar ki baat

    sehn-e-zindan ke be-watan ashjar

    sar-nigun mahw hain banane mein

    daman-e-asman pe naqsh-o-nigar

    shana-e-baam par damakta hai

    mehrban chandni ka dast-e-jamil

    KHak mein ghul gai hai aab-e-nujum

    nur mein ghul gaya hai arsh ka nil

    sabz goshon mein nil-gun sae

    lahlahate hain jis tarah dil mein

    mauj-e-dard-e-firaq-e-yar aae

    dil se paiham KHayal kahta hai

    itni shirin hai zindagi is pal

    zulm ka zahr gholne wale

    kaamran ho sakenge aaj na kal

    jalwa-gah-e-visal ki shamen

    wo bujha bhi chuke agar to kya

    chand ko gul karen to hum jaanen

    A Prison Nightfall

    The night descends

    step by silent step

    down the stairway of stars.

    The breeze goes by me

    like a kindly whispered phrase.

    The homeless trees of the prison yard

    Are absorbed making patterns

    against the sky.

    On the roof’s high crest

    the loving hand of moonlight rest.

    The starry river is drowned in dust

    and the sky glows silver with moonlight.

    In the dark foliage

    shadows play with the wind

    as a wave of painful loss

    invades the heart.

    Defiantly, a thought tells me

    how sweet life is at this instant:

    Those who brew the poison of cruelty

    will not win, tomorrow or today.

    They can put out the lamps

    where lovers meet;

    they cannot blind the moon!

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    RECITATIONS

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz,

    Faiz Ahmad Faiz

    zindan ki ek sham Faiz Ahmad Faiz

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 179)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now