Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Khayali's Photo'

Anjum Khayali

1936 - 1997 | England

Anjum Khayali

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 15

koī tohmat ho mire naam chalī aatī hai

jaise bāzār meñ har ghar se galī aatī hai

koi tohmat ho mere nam chali aati hai

jaise bazar mein har ghar se gali aati hai

kahāñ milā maiñ tujhe ye savāl ba.ad hai

pahle yaad to kar kis jagah gañvāyā mujhe

kahan mila main tujhe ye sawal baad ka hai

tu pahle yaad to kar kis jagah ganwaya mujhe

kuchh tasāvīr bol paḌtī haiñ

sab sab be-zabāñ nahīñ hotīñ

kuchh tasawir bol paDti hain

sab ki sab be-zaban nahin hotin

añdherī raat hai saaya to ho nahīñ saktā

ye kaun hai jo mire saath saath chaltā hai

andheri raat hai saya to ho nahin sakta

ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai

  • Share this

mire mazār pe aa kar diye jalā.egā

vo mere ba.ad mirī zindagī meñ aa.egā

mere mazar pe aa kar diye jalaega

wo mere baad meri zindagi mein aaega

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now