Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ateequllah's Photo'

Ateequllah

1941 | Delhi, India

Prominent critic and poet, worked as professor of Urdu in Delhi University

Prominent critic and poet, worked as professor of Urdu in Delhi University

Sher of Ateequllah

764
Favorite

SORT BY

aa.ina aa.ina tairtā koī aks

aur har ḳhvāb meñ dūsrā ḳhvāb hai

aaina aaina tairta koi aks

aur har KHwab mein dusra KHwab hai

kuchh badan zabān kahtī thī

āñsuoñ zabān meñ thā kuchh

kuchh badan ki zaban kahti thi

aansuon ki zaban mein tha kuchh

vo raat niind dahlīz par tamām huī

abhī to ḳhvāb pe ik aur ḳhvāb dharnā thā

wo raat nind ki dahliz par tamam hui

abhi to KHwab pe ek aur KHwab dharna tha

rail paTrī ne us ke TukḌe TukḌe kar diye

aap apnī zaat se us ko bahut inkār thā

rail ki paTri ne us ke TukDe TukDe kar diye

aap apni zat se us ko bahut inkar tha

is galī se us galī tak dauḌtā rahtā huuñ maiñ

raat utnī mayassar hai safar utnā hai

is gali se us gali tak dauDta rahta hun main

raat utni hi mayassar hai safar utna hi hai

zarā se rizq meñ barkat bhī kitnī hotī thī

aur ik charāġh se kitne charāġh jalte the

zara se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi

aur ek charagh se kitne charagh jalte the

lams shiddateñ mahfūz kahāñ rahtī haiñ

jab vo aatā hai ka.ī fāsle kar jaatā hai

lams ki shiddaten mahfuz kahan rahti hain

jab wo aata hai kai fasle kar jata hai

fazā meñ haath to uTThe the ek saath ka.ī

kisī ke vāste koī duā na kartā thā

faza mein hath to uTThe the ek sath kai

kisi ke waste koi dua na karta tha

har manzar ke andar bhī ik manzar hai

dekhne vaalā bhī to ho tayyār mujhe

har manzar ke andar bhi ek manzar hai

dekhne wala bhi to ho tayyar mujhe

kis ke pairoñ ke naqsh haiñ mujh meñ

mere andar ye kaun chaltā hai

kis ke pairon ke naqsh hain mujh mein

mere andar ye kaun chalta hai

kisī ik zaḳhm ke lab khul ga.e the

maiñ itnī zor se chīḳhā nahīñ thā

kisi ek zaKHm ke lab khul gae the

main itni zor se chiKHa nahin tha

tum ne to faqat us rivāyat sunī hai

ham ne vo zamāna bhī guzarte hue dekhā

tum ne to faqat us ki riwayat hi suni hai

hum ne wo zamana bhi guzarte hue dekha

apne sūkhe hue gul-dān ġham hai mujh ko

aañkh meñ ashk qatra bhī nahīñ hai koī

apne sukhe hue gul-dan ka gham hai mujh ko

aankh mein ashk ka qatra bhi nahin hai koi

ham zamīñ taraf jab aa.e the

āsmānoñ meñ rah gayā thā kuchh

hum zamin ki taraf jab aae the

aasmanon mein rah gaya tha kuchh

ye dekhā jaa.e vo kitne qarīb aatā hai

phir is ke baad inkār kar ke dekhā jaa.e

ye dekha jae wo kitne qarib aata hai

phir is ke baad hi inkar kar ke dekha jae

mujh meñ ḳhud merī adam-maujūdgī shāmil rahī

varna is māhaul meñ jiinā baḌā dushvār thā

mujh mein KHud meri adam-maujudgi shamil rahi

warna is mahaul mein jina baDa dushwar tha

kahāñ pahuñch ke hadeñ sab tamām hotī haiñ

is āsmān se nīche utar ke dekhā jaa.e

kahan pahunch ke haden sab tamam hoti hain

is aasman se niche utar ke dekha jae

koī shab DhūñDtī thī mujh ko aur maiñ

tirī nīndoñ meñ kar so gayā thā

koi shab DhunDti thi mujh ko aur main

teri nindon mein ja kar so gaya tha

paanī thā magar apne dariyā se judā thā

chaḌhte hue dekhā na utarte hue dekhā

pani tha magar apne hi dariya se juda tha

chaDhte hue dekha na utarte hue dekha

ḳhvāboñ kirchiyāñ mirī muTThī meñ bhar na jaa.e

ā.inda lamha ab ke bhī yūñhī guzar na jaa.e

KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae

aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jae

vo baat thī to ka.ī dūsre sabab bhī the

ye baat hai to sabab dūsrā nahīñ hogā

wo baat thi to kai dusre sabab bhi the

ye baat hai to sabab dusra nahin hoga

abhī to kāñToñ-bharī jhāḌiyoñ meñ aTkā hai

kabhī dikhā.ī diyā thā harā-bharā vo bhī

abhi to kanTon-bhari jhaDiyon mein aTka hai

kabhi dikhai diya tha hara-bhara wo bhi

ye rāh-e-talab yaaro gumrāh bhī kartī hai

sāmān usī thā jo be-sar-o-sāmāñ thā

ye rah-e-talab yaro gumrah bhi karti hai

saman usi ka tha jo be-sar-o-saman tha

baḌī chiiz hai ye supurdagī mahīn pal

na samajh sako to mujhe gañvā ke bhī dekhnā

baDi chiz hai ye supurdagi ka mahin pal

na samajh sako to mujhe ganwa ke bhi dekhna

din ke hañgāme jilā dete haiñ mujh ko varna

sub.h se pahle ka.ī martaba mar jāatā huuñ

din ke hangame jila dete hain mujh ko warna

subh se pahle kai martaba mar jaata hun

tire falak se TūTne vaalī raushnī ke haiñ aks saare

kahīñ kahīñ jo chamak rahe haiñ hurūf merī ibāratoñ meñ

tere falak hi se TuTne wali raushni ke hain aks sare

kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein

safar-girafta rahe kushtagān-e-nān-o-namak

hamāre haq meñ koī faisla na kartā thā

safar-girafta rahe kushtagan-e-nan-o-namak

hamare haq mein koi faisla na karta tha

kuchh aur din abhī is qayām karnā thā

yahāñ charāġh vahāñ par sitāra dharnā thā

TRANSLATION

Few more days I should have stayed here,

To place a lamp here and a star there.

Sagar Akbarabadi

kuchh aur din abhi is ja qayam karna tha

yahan charagh wahan par sitara dharna tha

TRANSLATION

Few more days I should have stayed here,

To place a lamp here and a star there.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now