Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Hashmi Sabqat's Photo'

Azhar Hashmi Sabqat

1990 | Munger, India

Sher of Azhar Hashmi Sabqat

376
Favorite

SORT BY

miltī hai ḳhushī sab ko jaise kahīñ se bhī

bhūlī hui bachpan tasvīr nikaltī hai

milti hai KHushi sab ko jaise hi kahin se bhi

bhuli hui bachpan ki taswir nikalti hai

ye jo behāl manzar ye jo bīmār se ham tum

siyāsat navāzish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

ye jo behaal sa manzar ye jo bimar se hum tum

siyasat ki nawazish hai kisi se kuchh nahin bolen

dekhā nahīñ jis ne mire tūfāñ ko sukūñ meñ

vo shaḳhs mirī ruuh ke andar nahīñ utrā

dekha nahin jis ne mere tufan ko sukun mein

wo shaKHs meri ruh ke andar nahin utra

bas rañj hai dāstāñ unvān hazāroñ

jiine ke liye mar ga.e insān hazāroñ

bas ranj ki hai dastan unwan hazaron

jine ke liye mar gae insan hazaron

usī pe sabr hai mujh ko har ek daur yahāñ

bahār aane se pahle ḳhizāñ se guzrā hai

usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahan

bahaar aane se pahle KHizan se guzra hai

kahīñ surāġh nahīñ hai kisī bhī qātil

lahūluhān magar shahr nazāra hai

kahin suragh nahin hai kisi bhi qatil ka

lahuluhan magar shahr ka nazara hai

gumān kahtā hai ke maiñ yaqīñ shā.ir huuñ

yaqīn kahtā hai ke maiñ gumāñ shā.ir huuñ

guman kahta hai ke main yaqin ka shair hun

yaqin kahta hai ke main guman ka shair hun

ḳhudā razā hai na hāsil kisī ko

ḳhudā ke liye par laḌā.ī bahut hai

KHuda ki raza hai na hasil kisi ko

KHuda ke liye par laDai bahut hai

sajde sabab jaan ke shīrīñ hai pareshāñ

farhād ne kah Daalā ke rab DhūñD rahā huuñ

sajde ka sabab jaan ke shirin hai pareshan

farhad ne kah Dala ke rab DhunD raha hun

koī hayāt zamāne ko hai aziiz bahut

koī hayāt hai ki roz roz martī hai

koi hayat zamane ko hai aziz bahut

koi hayat hai ki roz roz marti hai

jis ḳhaak se kahte ho vafā ham nahīñ karte

so.e haiñ usī ḳhaak meñ sultān hazāroñ

jis KHak se kahte ho wafa hum nahin karte

soe hain usi KHak mein sultan hazaron

davām pā.egā ik roz haq zamāne meñ

ye intizār nahīñ intizār-e-vahshat hai

dawam paega ek roz haq zamane mein

ye intizar nahin intizar-e-wahshat hai

itnī na intishār hiddat ho rū-ba-rū

insāñ ġham-e-hayāt meñ jaltā dikhā.ī de

itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru

insan gham-e-hayat mein jalta dikhai de

mire vajūd mehvar chamaktā rahtā hai

isī sanad se muqaddar chamaktā rahtā hai

mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai

isi sanad se muqaddar chamakta rahta hai

ye tamannā hai ḳhudā ālam-e-hastī meñ tire

maiñ ayaañ dekhnā chāhūñ to nihāñ tak dekhūñ

ye tamanna hai KHuda aalam-e-hasti mein tere

main ayan dekhna chahun to nihan tak dekhun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now