Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Dagh Dehlvi's Photo'

Dagh Dehlvi

1831 - 1905 | Delhi, India

Last of classical poets who celebrated life and love. Famous for his playfulness of words (idioms/ phrases).

Last of classical poets who celebrated life and love. Famous for his playfulness of words (idioms/ phrases).

Sher of Dagh Dehlvi

197.8K
Favorite

SORT BY

ham bhī kyā zindagī guzār ga.e

dil baazī lagā ke haar ga.e

hum bhi kya zindagi guzar gae

dil ki bazi laga ke haar gae

kal tak to āshnā the magar aaj ġhair ho

do din meñ ye mizāj hai aage ḳhair ho

kal tak to aashna the magar aaj ghair ho

do din mein ye mizaj hai aage ki KHair ho

saath shoḳhī ke kuchh hijāb bhī hai

is adā kahīñ javāb bhī hai

sath shoKHi ke kuchh hijab bhi hai

is ada ka kahin jawab bhi hai

mujh ko milā ye shikva-e-dushnām par javāb

aap us se ishq kījiye jis zabāñ na ho

mujh ko mila ye shikwa-e-dushnam par jawab

aap us se ishq kijiye jis ki zaban na ho

phir gayā jab se koī aa ke hamāre dar tak

ghar ke bāhar paḌe rahte haiñ ghar chhoḌ diyā

phir gaya jab se koi aa ke hamare dar tak

ghar ke bahar hi paDe rahte hain ghar chhoD diya

hazrat-e-'dāġh' hai ye kūcha-e-qātil uThiye

jis jagah baiThte haiñ aap to jam jaate haiñ

hazrat-e-'dagh' hai ye kucha-e-qatil uThiye

jis jagah baiThte hain aap to jam jate hain

sāqiyā tishnagī taab nahīñ

zahr de de agar sharāb nahīñ

saqiya tishnagi ki tab nahin

zahr de de agar sharab nahin

na samjhā umr guzrī us but-e-kāfar ko samjhāte

pighal kar mom ho jaatā agar patthar ko samjhāte

na samjha umr guzri us but-e-kafar ko samjhate

pighal kar mom ho jata agar patthar ko samjhate

rahe siina tanā lañgar se us ke

ye choTī is liye pīchhe paḌī hai

rahe sina tana langar se us ke

ye choTi is liye pichhe paDi hai

sar mirā kaaT ke pachhtā.iyegā

jhūTī phir kis qasam khā.iyegā

sar mera kaT ke pachhtaiyega

jhuTi phir kis ki qasam khaiyega

shab-e-vasl kyā kahūñ dāstāñ

zabāñ thak ga.ī guftugū rah ga.ī

shab-e-wasl ki kya kahun dastan

zaban thak gai guftugu rah gai

shirkat-e-ġham bhī nahīñ chāhtī ġhairat merī

ġhair ho ke rahe shab-e-furqat merī

shirkat-e-gham bhi nahin chahti ghairat meri

ghair ki ho ke rahe ya shab-e-furqat meri

duniyā meñ jāntā huuñ ki jannat mujhe milī

rāhat agar zarā musībat meñ mil ga.ī

duniya mein jaanta hun ki jannat mujhe mili

rahat agar zara si musibat mein mil gai

dekhnā hashr meñ jab tum pe machal jā.ūñgā

maiñ bhī kyā va.ada tumhārā huuñ ki Tal jā.ūñgā

dekhna hashr mein jab tum pe machal jaunga

main bhi kya wada tumhaara hun ki Tal jaunga

ab to bīmār-e-mohabbat tere

qābil-e-ġhaur hue jaate haiñ

ab to bimar-e-mohabbat tere

qabil-e-ghaur hue jate hain

Thokar bhī rāh-e-ishq meñ khānī zarūr hai

chaltā nahīñ huuñ raah ko hamvār dekh kar

Thokar bhi rah-e-ishq mein khani zarur hai

chalta nahin hun rah ko hamwar dekh kar

rah ga.e lākhoñ kaleja thaam kar

aañkh jis jānib tumhārī uTh ga.ī

rah gae lakhon kaleja tham kar

aankh jis jaanib tumhaari uTh gai

ġhash khā ke 'dāġh' yaar ke qadmoñ pe gir paḌā

behosh ne bhī kaam kiyā hoshiyār

ghash kha ke 'dagh' yar ke qadmon pe gir paDa

behosh ne bhi kaam kiya hoshiyar ka

is liye vasl se inkār hai ham jaan ga.e

ye na samjhe koī kyā jald kahā maan ga.e

is liye wasl se inkar hai hum jaan gae

ye na samjhe koi kya jald kaha man gae

zāhid na kah burī ye mastāne aadmī haiñ

tujh ko lipaT paḌeñge dīvāne aadmī haiñ

zahid na kah buri ye mastane aadmi hain

tujh ko lipaT paDenge diwane aadmi hain

aap pachhtā.eñ nahīñ jaur se tauba na kareñ

aap ke sar qasam 'dāġh' haal achchhā hai

aap pachhtaen nahin jaur se tauba na karen

aap ke sar ki qasam 'dagh' ka haal achchha hai

tabī.at koī din meñ bhar jā.egī

chaḌhī hai ye naddī utar jā.egī

tabiat koi din mein bhar jaegi

chaDhi hai ye naddi utar jaegi

nāseh ne merā haal jo mujh se bayāñ kiyā

aañsū Tapak paḌe mire be-iḳhtiyār aaj

naseh ne mera haal jo mujh se bayan kiya

aansu Tapak paDe mere be-iKHtiyar aaj

arz-e-ahvāl ko gilā samjhe

kyā kahā maiñ ne aap kyā samjhe

the mention of my condition was a complaint thought to be

what was it I said to you, you did not follow me

arz-e-ahwal ko gila samjhe

kya kaha main ne aap kya samjhe

the mention of my condition was a complaint thought to be

what was it I said to you, you did not follow me

zālim ne kyā nikālī raftār rafta rafta

is chaal par chalegī talvār rafta rafta

zalim ne kya nikali raftar rafta rafta

is chaal par chalegi talwar rafta rafta

'mīr' rañg baratnā nahīñ āsāñ ai 'dāġh'

apne dīvāñ se milā dekhiye dīvāñ un

'mir' ka rang baratna nahin aasan ai 'dagh'

apne diwan se mila dekhiye diwan un ka

hasrateñ le ga.e is bazm se chalne vaale

haath malte uThe itr ke malne vaale

hasraten le gae is bazm se chalne wale

hath malte hi uThe itr ke malne wale

dushmanoñ se dostī ġhairoñ se yaarī chāhiye

ḳhaak ke putle bane to ḳhāksārī chāhiye

TRANSLATION

Friendship with enemies, amity with strangers is must,

Modesty is required, when thou art made of dust.

Sagar Akbarabadi

dushmanon se dosti ghairon se yari chahiye

KHak ke putle bane to KHaksari chahiye

TRANSLATION

Friendship with enemies, amity with strangers is must,

Modesty is required, when thou art made of dust.

Sagar Akbarabadi

lipaT jaate haiñ vo bijlī ke Dar se

ilāhī ye ghaTā do din to barse

by lightning scared, she clings to me

may two days,Lord, this weather be

lipaT jate hain wo bijli ke Dar se

ilahi ye ghaTa do din to barse

by lightning scared, she clings to me

may two days,Lord, this weather be

chup-chāp suntī rahtī hai pahroñ shab-e-firāq

tasvīr-e-yār ko hai mirī guftugū pasand

chup-chap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq

taswir-e-yar ko hai meri guftugu pasand

āshiqī se milegā ai zāhid

bandagī se ḳhudā nahīñ miltā

in romance, does God abound

O priest in piety not found

aashiqi se milega ai zahid

bandagi se KHuda nahin milta

in romance, does God abound

O priest in piety not found

phirtā hai mere dil meñ koī harf-e-mudda.ā

qāsid se kah do aur na jaa.e zarā der

phirta hai mere dil mein koi harf-e-muddaa

qasid se kah do aur na jae zara si der

laakh dene ek denā thā

dil-e-be-mudda.ā diyā ne

lakh dene ka ek dena tha

dil-e-be-muddaa diya tu ne

nigah niklī na dil chor zulf-e-ambarīñ niklī

idhar haath muTThī khol ye chorī yahīñ niklī

nigah nikli na dil ki chor zulf-e-ambarin nikli

idhar la hath muTThi khol ye chori yahin nikli

hazāroñ kaam mohabbat meñ haiñ maze ke 'dāġh'

jo log kuchh nahīñ karte kamāl karte haiñ

hazaron kaam mohabbat mein hain maze ke 'dagh'

jo log kuchh nahin karte kamal karte hain

shab-e-visāl hai gul kar do in charāġhoñ ko

ḳhushī bazm meñ kyā kaam jalne vāloñ

shab-e-visal hai gul kar do in charaghon ko

KHushi ki bazm mein kya kaam jalne walon ka

hazrat-e-dāġh jahāñ baiTh ga.e baiTh ga.e

aur hoñge tirī mahfil se ubharne vaale

hazrat-e-dagh jahan baiTh gae baiTh gae

aur honge teri mahfil se ubharne wale

ik adā mastāna sar se paañv tak chhā.ī huī

uf tirī kāfir javānī josh par aa.ī huī

ek ada mastana sar se panw tak chhai hui

uf teri kafir jawani josh par aai hui

hazrat-e-dil aap haiñ kis dhyān meñ

mar ga.e lākhoñ isī armān meñ

hazrat-e-dil aap hain kis dhyan mein

mar gae lakhon isi arman mein

ruuh kis mast pyāsī ga.ī mai-ḳhāne se

mai uḌī jaatī hai saaqī tire paimāne se

ruh kis mast ki pyasi gai mai-KHane se

mai uDi jati hai saqi tere paimane se

abhī kam-sin ho rahne do kahīñ kho doge dil merā

tumhāre liye rakkhā hai le lenā javāñ ho kar

abhi kam-sin ho rahne do kahin kho doge dil mera

tumhaare hi liye rakkha hai le lena jawan ho kar

ḳhudā qasam us ne khaa.ī jo aaj

qasam hai ḳhudā mazā aa gayā

when she swore on God today

I swear to God

KHuda ki qasam us ne khai jo aaj

qasam hai KHuda ki maza aa gaya

when she swore on God today

I swear to God

maiñ mar gayā to ḳhaak bhī un ko na ġham huā

kahte haiñ ek chāhne vaalā to kam huā

main mar gaya to KHak bhi un ko na gham hua

kahte hain ek chahne wala to kam hua

chaak ho parda-e-vahshat mujhe manzūr nahīñ

varna ye haath girebān se kuchh duur nahīñ

chaak ho parda-e-wahshat mujhe manzur nahin

warna ye hath gireban se kuchh dur nahin

un farmā.ish na.ī din raat hai

aur thoḌī mirī auqāt hai

un ki farmaish nai din raat hai

aur thoDi si meri auqat hai

tum ko chāhā to ḳhatā kyā hai batā do mujh ko

dūsrā koī to apnā dikhā do mujh ko

tum ko chaha to KHata kya hai bata do mujh ko

dusra koi to apna sa dikha do mujh ko

yuuñ mere saath dafn dil-e-be-qarār ho

chhoTā ik mazār ke andar mazār ho

yun mere sath dafn dil-e-be-qarar ho

chhoTa sa ek mazar ke andar mazar ho

ā.īna dekh ke ye dekh sañvarne vaale

tujh pe bejā to nahīñ marte ye marne vaale

aaina dekh ke ye dekh sanwarne wale

tujh pe beja to nahin marte ye marne wale

mujh gunahgār ko jo baḳhsh diyā

to jahannam ko kyā diyā ne

if you have forgiven offences such as mine

then to nether world what did you consign

mujh gunahgar ko jo baKHsh diya

to jahannam ko kya diya tu ne

if you have forgiven offences such as mine

then to nether world what did you consign

ho sake kyā apnī vahshat ilaaj

mere kūche meñ bhī sahrā chāhiye

ho sake kya apni wahshat ka ilaj

mere kuche mein bhi sahra chahiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now