aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mazaq Badayuni

1819 - 1894 | Badayun, India

Mazaq Badayuni

Ghazal 6

Sher-o-Shayari 5

zabāñ par aah rahī lab se lab kabhū na milā

tirī talab to milī kyā huā jo na milā

zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila

teri talab to mili kya hua jo tu na mila

ham se vahshī nahīñ hone ke giraftār kabhī

log dīvāne haiñ zanjīr liye phirte haiñ

hum se wahshi nahin hone ke giraftar kabhi

log diwane hain zanjir liye phirte hain

  • Share this

saat āsmāñ sair hai pardoñ meñ aañkh ke

āñkheñ khulīñ to turfa tamāshā nazar paḌā

sat aasman ki sair hai pardon mein aankh ke

aankhen khulin to turfa tamasha nazar paDa

nikal gayā mirī āñkhoñ se misl-e-ḳhvā-o-ḳhayāl

guzar gayā dil-e-raushan se vo nazar ban kar

nikal gaya meri aankhon se misl-e-KHwa-o-KHayal

guzar gaya dil-e-raushan se wo nazar ban kar

vaa.iz butoñ ke aage na furqāñ nikāliye

sūrat se un ma.anī-e-qur.āñ nikāliye

waiz buton ke aage na furqan nikaliye

surat se un ki mani-e-quran nikaliye

BOOKS 1

 

More Poets From "Badayun"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now