aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rahat Indori's Photo'

Rahat Indori

1950 - 2020 | Indore, India

Popular poet and film lyricist.

Popular poet and film lyricist.

Sher of Rahat Indori

89.9K
Favorite

SORT BY

us yaad aa.ī hai sāñso zarā āhista chalo

dhaḌkanoñ se bhī ibādat meñ ḳhalal paḌtā hai

us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo

dhaDkanon se bhi ibaadat mein KHalal paDta hai

dostī jab kisī se jaa.e

dushmanoñ bhī raa.e jaa.e

TRANSLATION

While befriending someone,

Opinion of the foes may also be sought.

Sagar Akbarabadi

dosti jab kisi se ki jae

dushmanon ki bhi rae li jae

TRANSLATION

While befriending someone,

Opinion of the foes may also be sought.

Sagar Akbarabadi

na ham-safar na kisī ham-nashīñ se niklegā

hamāre paañv kāñTā hamīñ se niklegā

na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega

hamare panw ka kanTa hamin se niklega

shāḳhoñ se TuuT jaa.eñ vo patte nahīñ haiñ ham

āñdhī se koī kah de ki auqāt meñ rahe

shaKHon se TuT jaen wo patte nahin hain hum

aandhi se koi kah de ki auqat mein rahe

ham se pahle bhī musāfir ka.ī guzre hoñge

kam se kam raah ke patthar to haTāte jaate

hum se pahle bhi musafir kai guzre honge

kam se kam rah ke patthar to haTate jate

aañkh meñ paanī rakho hoñToñ pe chiñgārī rakho

zinda rahnā hai to tarkībeñ bahut saarī rakho

aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho

zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho

roz tāroñ ko numā.ish meñ ḳhalal paḌtā hai

chāñd pāgal hai añdhere meñ nikal paḌtā hai

roz taron ko numaish mein KHalal paDta hai

chand pagal hai andhere mein nikal paDta hai

na.e kirdār aate rahe haiñ

magar nāTak purānā chal rahā hai

nae kirdar aate ja rahe hain

magar naTak purana chal raha hai

bahut ġhurūr hai dariyā ko apne hone par

jo merī pyaas se uljhe to dhajjiyāñ uḌ jaa.eñ

bahut ghurur hai dariya ko apne hone par

jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen

ghar ke bāhar DhūñDhtā rahtā huuñ duniyā

ghar ke andar duniyā-dārī rahtī hai

ghar ke bahar DhunDhta rahta hun duniya

ghar ke andar duniya-dari rahti hai

ye zarūrī hai ki āñkhoñ bharam qaa.em rahe

niiñd rakkho na rakkho ḳhvāb meyārī rakho

ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe

nind rakkho ya na rakkho KHwab meyari rakho

bīmār ko maraz davā denī chāhiye

maiñ piinā chāhtā huuñ pilā denī chāhiye

bimar ko maraz ki dawa deni chahiye

main pina chahta hun pila deni chahiye

vo chāhtā thā ki kaasa ḳharīd le merā

maiñ us ke taaj qīmat lagā ke lauT aayā

wo chahta tha ki kasa KHarid le mera

main us ke taj ki qimat laga ke lauT aaya

mirī ḳhvāhish hai ki āñgan meñ na dīvār uThe

mire bhaa.ī mire hisse zamīñ rakh le

meri KHwahish hai ki aangan mein na diwar uThe

mere bhai mere hisse ki zamin tu rakh le

maiñ āḳhir kaun mausam tumhāre naam kar detā

yahāñ har ek mausam ko guzar jaane jaldī thī

main aaKHir kaun sa mausam tumhaare nam kar deta

yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi

ham apnī jaan ke dushman ko apnī jaan kahte haiñ

mohabbat isī miTTī ko hindustān kahte haiñ

hum apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain

mohabbat ki isi miTTi ko hindustan kahte hain

sūraj sitāre chāñd mire saath meñ rahe

jab tak tumhāre haath mire haath meñ rahe

suraj sitare chand mere sath mein rahe

jab tak tumhaare hath mere hath mein rahe

ek naddī ke haiñ ye do kināre dosto

dostāna zindagī se maut se yaarī rakho

ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto

dostana zindagi se maut se yari rakho

botaleñ khol kar to barsoñ

aaj dil khol kar bhī jaa.e

botalen khol kar to pi barson

aaj dil khol kar bhi pi jae

ab to har haath patthar hameñ pahchāntā hai

umr guzrī hai tire shahr meñ aate jaate

ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai

umr guzri hai tere shahr mein aate jate

maiñ parbatoñ se laḌtā rahā aur chand log

giilī zamīn khod ke farhād ho ga.e

main parbaton se laDta raha aur chand log

gili zamin khod ke farhad ho gae

terī mahfil se jo niklā to ye manzar dekhā

mujhe logoñ ne bulāyā mujhe chhū kar dekhā

teri mahfil se jo nikla to ye manzar dekha

mujhe logon ne bulaya mujhe chhu kar dekha

ye havā.eñ uḌ na jaa.eñ le ke kāġhaz badan

dosto mujh par koī patthar zarā bhārī rakho

ye hawaen uD na jaen le ke kaghaz ka badan

dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho

maiñ ne apnī ḳhushk āñkhoñ se lahū chhalkā diyā

ik samundar kah rahā thā mujh ko paanī chāhiye

main ne apni KHushk aankhon se lahu chhalka diya

ek samundar kah raha tha mujh ko pani chahiye

maza chakhā ke maanā huuñ maiñ bhī duniyā ko

samajh rahī thī ki aise chhoḌ dūñgā use

maza chakha ke hi mana hun main bhi duniya ko

samajh rahi thi ki aise hi chhoD dunga use

roz patthar himāyat meñ ġhazal likhte haiñ

roz shīshoñ se koī kaam nikal paḌtā hai

roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain

roz shishon se koi kaam nikal paDta hai

maiñ aa kar dushmanoñ meñ bas gayā huuñ

yahāñ hamdard haiñ do-chār mere

main aa kar dushmanon mein bas gaya hun

yahan hamdard hain do-chaar mere

ik mulāqāt jaadū ki utartā nahīñ

tirī ḳhushbū mirī chādar se nahīñ jaatī hai

ek mulaqat ka jadu ki utarta hi nahin

teri KHushbu meri chadar se nahin jati hai

shahr kyā dekheñ ki har manzar meñ jaale paḌ ga.e

aisī garmī hai ki piile phuul kaale paḌ ga.e

shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae

aisi garmi hai ki pile phul kale paD gae

maiñ mar jā.ūñ to merī ek alag pahchān likh denā

lahū se merī peshānī pe hindustān likh denā

main mar jaun to meri ek alag pahchan likh dena

lahu se meri peshani pe hindustan likh dena

ḳhayāl thā ki ye pathrāv rok deñ chal kar

jo hosh aayā to dekhā lahū lahū ham the

KHayal tha ki ye pathraw rok den chal kar

jo hosh aaya to dekha lahu lahu hum the

collage ke sab bachche chup haiñ kāġhaz ik naav liye

chāroñ taraf dariyā sūrat phailī huī bekārī hai

collage ke sab bachche chup hain kaghaz ki ek naw liye

chaaron taraf dariya ki surat phaili hui bekari hai

raat dhaḌkan jab tak jaarī rahtī hai

sote nahīñ ham zimmedārī rahtī hai

raat ki dhaDkan jab tak jari rahti hai

sote nahin hum zimmedari rahti hai

so.e rahte haiñ oḌh kar ḳhud ko

ab zarūrat nahīñ razā.ī

soe rahte hain oDh kar KHud ko

ab zarurat nahin razai ki

hamāre mīr-taqī-'mīr' ne kahā thā kabhī

miyāñ ye āshiqī izzat bigāḌ detī hai

hamare mir-taqi-'mir' ne kaha tha kabhi

miyan ye aashiqi izzat bigaD deti hai

sitāro aao mirī raah meñ bikhar jaao

ye merā hukm hai hālāñki kuchh nahīñ huuñ maiñ

sitaro aao meri rah mein bikhar jao

ye mera hukm hai haalanki kuchh nahin hun main

charāġhoñ gharānā chal rahā hai

havā se dostāna chal rahā hai

charaghon ka gharana chal raha hai

hawa se dostana chal raha hai

ab itnī saarī shaboñ hisāb kaun rakhe

baḌe savāb kamā.e ga.e javānī meñ

ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe

baDe sawab kamae gae jawani mein

aate jaate pal ye kahte haiñ hamāre kaan meñ

kuuch ailān hone ko hai tayyārī rakho

aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein

kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho

chāñd sūraj mirī chaukhaT pe ka.ī sadiyoñ se

roz likkhe hue chehre pe savāl aate haiñ

chand suraj meri chaukhaT pe kai sadiyon se

roz likkhe hue chehre pe sawal aate hain

jā-namāzoñ tarah nuur meñ ujlā.ī sahar

raat bhar jaise farishtoñ ne ibādat hai

ja-namazon ki tarah nur mein ujlai sahar

raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai

shaam ne jab palkoñ pe ātish-dān liyā

kuchh yādoñ ne chuTkī meñ lobān liyā

sham ne jab palkon pe aatish-dan liya

kuchh yaadon ne chuTki mein loban liya

maiñ karvaToñ ke na.e zā.iqe likhūñ shab-bhar

ye ishq hai to kahāñ zindagī azaab karūñ

main karwaTon ke nae zaiqe likhun shab-bhar

ye ishq hai to kahan zindagi azab karun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now