Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Imdad Ali Bahr

1810 - 1878 | Lucknow, India

Sher of Imdad Ali Bahr

4.3K
Favorite

SORT BY

āñkheñ na jiine deñgī tirī be-vafā mujhe

kyuuñ khiḌkiyoñ se jhāñk rahī hai qazā mujhe

aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe

kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe

ham na kahte the hañsī achchhī nahīñ

aa ga.ī āḳhir rukāvaT dekhiye

hum na kahte the hansi achchhi nahin

aa gai aaKHir rukawaT dekhiye

ḳhudā aliim hai har shaḳhs banāvaT

kaho namāziyo sajde kiye ki sar paTkā

KHuda alim hai har shaKHs ki banawaT ka

kaho namaziyo sajde kiye ki sar paTka

banāvaT vaz.a-dārī meñ ho be-sāḳhta-pan meñ

hameñ andāz vo bhātā hai jis meñ kuchh adā nikle

banawaT waza-dari mein ho ya be-saKHta-pan mein

hamein andaz wo bhata hai jis mein kuchh ada nikle

mujh ko rone to do dikhā dūñgā

bulbulā hai ye āsmān nahīñ

mujh ko rone to do dikha dunga

bulbula hai ye aasman nahin

kausar jaam us ko ilāhī nasīb ho

koī sharāb merī lahad par chhiḌak gayā

kausar ka jam us ko ilahi nasib ho

koi sharab meri lahad par chhiDak gaya

ḳhvāhish-e-dīdār meñ āñkheñ bhī haiñ merī raqīb

saat pardoñ meñ chhupā rakkhā hai us ke nuur ko

KHwahish-e-didar mein aankhen bhi hain meri raqib

sat pardon mein chhupa rakkha hai us ke nur ko

maiñ haath joḌtā huuñ baḌī der se huzūr

lag jā.iye gale se ab inkār ho chukā

main hath joDta hun baDi der se huzur

lag jaiye gale se ab inkar ho chuka

ḳhizāñ meñ jo sair ko nikle

hare ho jaa.eñ be-bahār daraḳht

tu KHizan mein jo sair ko nikle

hare ho jaen be-bahaar daraKHt

juutā nayā pahan ke vo panjoñ ke bal chale

kapḌe badal ke jaame se bāhar nikal chale

juta naya pahan ke wo panjon ke bal chale

kapDe badal ke jame se bahar nikal chale

zālim hamārī aaj ye baat yaad rakh

itnā bhī dil-jaloñ satānā bhalā nahīñ

zalim hamari aaj ki ye baat yaad rakh

itna bhi dil-jalon ka satana bhala nahin

zāhid sunā.ūñ vasf jo apnī sharāb ke

paḌhne lageñ darūd farishte savāb ke

zahid sunaun wasf jo apni sharab ke

paDhne lagen darud farishte sawab ke

kāfir-e-ishq huuñ maiñ sab se mohabbat hai mujhe

ek but kyā ki samāyā hai kalīsā dil meñ

kafir-e-ishq hun main sab se mohabbat hai mujhe

ek but kya ki samaya hai kalisa dil mein

kisī ne ka.aba banāyā kisī ne but-ḳhāna

banā na ek gharauñdā tumhāre ghar tarah

kisi ne kaba banaya kisi ne but-KHana

bana na ek gharaunda tumhaare ghar ki tarah

na mohabbat hai diloñ meñ na hayā āñkhoñ meñ

ye sanam ne banā.e haiñ ḳhudāyā kaise

na mohabbat hai dilon mein na haya aankhon mein

ye sanam tu ne banae hain KHudaya kaise

pyaar aañkh se dushman ko bhī jo dekhte haiñ

ham ne aise bhī haiñ allāh ke pyāre dekhe

pyar ki aankh se dushman ko bhi jo dekhte hain

hum ne aise bhi hain allah ke pyare dekhe

ġhair par kyuuñ nigāh karte ho

mujh ko is tiir nishāna karo

ghair par kyun nigah karte ho

mujh ko is tir ka nishana karo

jaan sadqe ek bose par kareñge umr-bhar

dekh lo muñh se milā kar muñh hamārā jhuuT sach

jaan sadqe ek bose par karenge umr-bhar

dekh lo munh se mila kar munh hamara jhuT sach

qaazī ko jo riñd kuchh chaTā deñ

masjid baġhal meñ mai-kada ho

qazi ko jo rind kuchh chaTa den

masjid ki baghal mein mai-kada ho

dīvāngī meñ pheñk rahe the jo ham libās

utrī qabā buḳhār badan se utar gayā

diwangi mein phenk rahe the jo hum libas

utri qaba buKHar badan se utar gaya

bhaTak ke koī gayā dair ko koī ka.abe

ajiib bhūl-bhulayyāñ hai marhala dil

bhaTak ke koi gaya dair ko koi kabe

ajib bhul-bhulayyan hai marhala dil ka

kyā ḳhabar thī sub.h ho jā.egī tere nuur se

shaam se merā charāġh-e-ḳhāna ruḳhsat māñgtā

kya KHabar thi subh ho jaegi tere nur se

sham se mera charagh-e-KHana ruKHsat mangta

be-tarah dil meñ bharā rahtā hai zulfoñ dhuāñ

dam nikal jaa.e kisī roz na ghuT kar apnā

be-tarah dil mein bhara rahta hai zulfon ka dhuan

dam nikal jae kisi roz na ghuT kar apna

duniyā meñ 'bahr' kaun ibādat-guzār hai

saum-o-salāt dāḳhil-e-rasm-o-rivāj hai

duniya mein 'bahr' kaun ibaadat-guzar hai

saum-o-salat daKHil-e-rasm-o-riwaj hai

dikhāyā us ne ban-Than kar vo jalva apnī sūrat

ki paanī phir gayā ā.īne par dariyā-e-hairat

dikhaya us ne ban-Than kar wo jalwa apni surat ka

ki pani phir gaya aaine par dariya-e-hairat ka

merā lahū chaTā.egā jab tak na teġh ko

qātil ko dahne haath se khānā harām hai

mera lahu chaTaega jab tak na tegh ko

qatil ko dahne hath se khana haram hai

abr-e-bahār ab bhī jachtā nahīñ nazar meñ

kuchh āñsuoñ ke qatre ab bhī haiñ chashm-e-tar meñ

abr-e-bahaar ab bhi jachta nahin nazar mein

kuchh aansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar mein

uñgliyāñ ne jo ai rashk-e-chaman chaTkā.īñ

mujh ko ġhunchoñ ke chaTakne sadā.eñ aa.iiñ

ungliyan tu ne jo ai rashk-e-chaman chaTkain

mujh ko ghunchon ke chaTakne ki sadaen aain

bāloñ meñ bal hai aañkh meñ surma hai muñh meñ paan

ghar se nikal ke paañv nikāle nikal chale

baalon mein bal hai aankh mein surma hai munh mein pan

ghar se nikal ke panw nikale nikal chale

amiir shaal do-shāloñ meñ garm-e-rāhat-o-aish

ġharīb ke liye jāḌoñ meñ zindagānī dhuup

amir shaal do-shaalon mein garm-e-rahat-o-aish

gharib ke liye jaDon mein zindagani dhup

yaar tak le na ga.e ashk bahā kar ham ko

is ko bhī dekh liyā dīda-e-tar kuchh bhī nahīñ

yar tak le na gae ashk baha kar hum ko

is ko bhi dekh liya dida-e-tar kuchh bhi nahin

merā dil kis ne liyā naam batā.ūñ kis

maiñ huuñ aap haiñ ghar meñ koī aayā na gayā

mera dil kis ne liya nam bataun kis ka

main hun ya aap hain ghar mein koi aaya na gaya

pūchhe rindoñ se koī in muftiyoñ jhuuT sach

do dalīloñ se ye kar lete haiñ da.avā jhuuT sach

puchhe rindon se koi in muftiyon ka jhuT sach

do dalilon se ye kar lete hain dawa jhuT sach

qatl par biiḌā uThā kar teġh kyā bāñdhoge tum

lo ḳhabar apnī dahan gum hai kamar miltī nahīñ

qatl par biDa uTha kar tegh kya bandhoge tum

lo KHabar apni dahan gum hai kamar milti nahin

āshiq se nāk-bhauñ na chaḌhā o kitāb-rū

ham dars-e-ishq meñ ye alif bhī paḌhe nahīñ

aashiq se nak-bhaun na chaDha o kitab-ru

hum dars-e-ishq mein ye alif bhi paDhe nahin

na niklegā dil us ke gesū meñ phañs kar

ye kaalā kabhī man ugaltā nahīñ hai

na niklega dil us ke gesu mein phans kar

ye kala kabhi man ugalta nahin hai

hai nagīna har ek uzv-e-badan

tum ko kyā ehtiyāj zevar

hai nagina har ek uzw-e-badan

tum ko kya ehtiyaj zewar ki

ḳhuub chaltī hai naav kāġhaz

ghar meñ qaazī ke maal aatā hai

KHub chalti hai naw kaghaz ki

ghar mein qazi ke mal aata hai

koī haram ko gayā koī dair ko ai 'bahr'

hazār shukr na maiñ is dorāhe meñ bhaTkā

koi haram ko gaya koi dair ko ai 'bahr'

hazar shukr na main is dorahe mein bhaTka

naama kyā yaar ko pahuñchāyā ki me.arāj huī

arsh par baiTh ke gūñjegā kabūtar apnā

nama kya yar ko pahunchaya ki mearaj hui

arsh par baiTh ke gunjega kabutar apna

na paayā amn musalmān se na kāfir se

kahīñ huā maiñ zabīha kahīñ huā jhaTkā

na paya amn musalman se na kafir se

kahin hua main zabiha kahin hua jhaTka

choTī guñdhvā.ī huī yaar ne khulvā Daalī

rahm aayā koī mahbūs-e-rasan yaad aayā

choTi gundhwai hui yar ne khulwa Dali

rahm aaya koi mahbus-e-rasan yaad aaya

muḳhtār haiñ vo likkheñ na likkheñ javāb-e-ḳhat

sāhab ko roz apnā arīza report hai

muKHtar hain wo likkhen na likkhen jawab-e-KHat

sahab ko roz apna ariza report hai

mire baġhair na ik-dam use qarār aatā

zarā bhī zabt jo mujh be-qarār meñ hotā

mere baghair na ik-dam use qarar aata

zara bhi zabt jo mujh be-qarar mein hota

ke masjidoñ meñ bhare taaq bhī bahut

us but bārgah meñ na pahuñchā kisī tarah

ja ja ke masjidon mein bhare taq bhi bahut

us but ki bargah mein na pahuncha kisi tarah

shab-e-vaslat to jaate jaate andhā kar ga.ī mujh ko

tum ab bahrā karo sāhab sunā kar naam ruḳhsat

shab-e-waslat to jate jate andha kar gai mujh ko

tum ab bahra karo sahab suna kar nam ruKHsat ka

yaar ko dekhte mar ga.e ai 'bahr' afsos

ḳhaak merī koī āñkhoñ meñ qazā jhoñke

yar ko dekhte hi mar gae ai 'bahr' afsos

KHak meri koi aankhon mein qaza ki jhonke

zāhido da.avat-e-rindāñ hai sharāb aur kabāb

kabhī maiḳhāne meñ bhī roza-kushā.ī ho jaa.e

zahido dawat-e-rindan hai sharab aur kabab

kabhi maiKHane mein bhi roza-kushai ho jae

mire qatl par tum ne biiḌā uThāyā

mire haath paan khāyā to hotā

mere qatl par tum ne biDa uThaya

mere hath ka pan khaya to hota

zāhir-parast ḳhalq hai zāhir durust kar

kaise sifāt-o-zāt jo kuchh hai libās hai

zahir-parast KHalq hai zahir durust kar

kaise sifat-o-zat jo kuchh hai libas hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now