join rekhta family!
hai mire pahlū meñ aur mujh ko nazar aatā nahīñ
us parī kā sehr yaaro kuchh kahā jaatā nahīñ
hai mere pahlu mein aur mujh ko nazar aata nahin
us pari ka sehr yaro kuchh kaha jata nahin
saaqī hameñ qasam hai tirī chashm-e-mast kī
tujh bin jo ḳhvāb meñ bhī piyeñ mai harām ho
saqi hamein qasam hai teri chashm-e-mast ki
tujh bin jo KHwab mein bhi piyen mai haram ho
donoñ terī justujū meñ phirte haiñ dar dar tabāh
dair hindū chhoḌ kar ka.aba musalmāñ chhoḌ kar
donon teri justuju mein phirte hain dar dar tabah
dair hindu chhoD kar kaba musalman chhoD kar
na kiije vo ki miyāñ jis se dil koī ho malūl
sivā.e is ke jo jī chāhe so kiyā kiije
na kije wo ki miyan jis se dil koi ho malul
siwae is ke jo ji chahe so kiya kije
dair meñ ka.abe meñ maiḳhāne meñ aur masjid meñ
jalva-gar sab meñ mirā yaar hai allāh allāh
dair mein kabe mein maiKHane mein aur masjid mein
jalwa-gar sab mein mera yar hai allah allah
ka.abe meñ vahī ḳhud hai vahī dair meñ hai aap
hindū kaho yā us ko musalmān vahī hai
kabe mein wahi KHud hai wahi dair mein hai aap
hindu kaho ya us ko musalman wahi hai
in do ke sivā koī falak se na huā paar
yā tiir mirī aah kā yā us kī nazar kā
in do ke siwa koi falak se na hua par
ya tir meri aah ka ya us ki nazar ka
dostī chhūTe chhuḌā.e se kisū ke kis tarah
band hotā hī nahīñ rasta diloñ kī raah kā
dosti chhuTe chhuDae se kisu ke kis tarah
band hota hi nahin rasta dilon ki rah ka
ba-tasḳhīr-e-butāñ tasbīh kyuuñ zāhid phirāte haiñ
ye lohe ke chane vallāh āshiq hī chabāte haiñ
ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain
ye lohe ke chane wallah aashiq hi chabaate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
shaiḳh kahte haiñ mujhe dair na jā ka.aba chal
barhaman kahte haiñ kyuuñ yaañ bhī ḳhudā hai ki nahīñ
shaiKH kahte hain mujhe dair na ja kaba chal
barhaman kahte hain kyun yan bhi KHuda hai ki nahin
barahman dair ko raahī huā aur shaiḳh ka.abe ko
nikal kar us dorāhe se maiñ kū-e-yār meñ aayā
barahman dair ko rahi hua aur shaiKH kabe ko
nikal kar us dorahe se main ku-e-yar mein aaya
jo apne jīte-jī ko kuñ.eñ meñ Duboiye
to chaah meñ kisī kī giraftār hoiye
jo apne jite-ji ko kunen mein Duboiye
to chah mein kisi ki giraftar hoiye
rahīm o raam kī sumran hai shaiḳh o hindū ko
dil us ke naam kī raTnā raTe hai kyā kiije
rahim o ram ki sumran hai shaiKH o hindu ko
dil us ke nam ki raTna raTe hai kya kije
kāfir huuñ gar maiñ naam bhī ka.abe kā luuñ kabhī
vo sañg-dil sanam jo kabhū mujh se raam ho
kafir hun gar main nam bhi kabe ka lun kabhi
wo sang-dil sanam jo kabhu mujh se ram ho
jab nashe meñ ham ne kuchh mīThe kī ḳhvāhish us se kī
tursh ho bolā ki kyuuñ be tū bhī is laa.eq huā
jab nashe mein hum ne kuchh miThe ki KHwahish us se ki
tursh ho bola ki kyun be tu bhi is laeq hua
tamām ḳhalq-e-ḳhudā zer-e-āsmāñ kī sameT
zamīñ ne khaa.ī va-lekin bharā na us kā peT
tamam KHalq-e-KHuda zer-e-asman ki sameT
zamin ne khai wa-lekin bhara na us ka peT
-
Tag : Earthquake
raqīb jam ke ye baiThā ki ham uThe nā-chār
ye patthar ab na haTā.e haTe hai kyā kiije
raqib jam ke ye baiTha ki hum uThe na-chaar
ye patthar ab na haTae haTe hai kya kije
jo az-ḳhud-rafta hai gumrāh hai vo rahnumā merā
jo ik aalam se hai begāna hai vo āshnā merā
jo az-KHud-rafta hai gumrah hai wo rahnuma mera
jo ek aalam se hai begana hai wo aashna mera
are o ḳhāna-ābād itnī ḳhūñ-rezī ye qattālī
ki ik āshiq nahīñ kūcha tirā vīrān suunā hai
are o KHana-abaad itni KHun-rezi ye qattali
ki ek aashiq nahin kucha tera viran suna hai