Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aahang nai rut ka mila sham se pahle

Irshad Anjum

aahang nai rut ka mila sham se pahle

Irshad Anjum

MORE BYIrshad Anjum

    āhañg na.ī rut milā shaam se pahle

    tab maiñ ne bhī ik sher kahā shaam se pahle

    ai chāragaro raat poshāk utāro

    mahsūs karo dard mirā shaam se pahle

    us ghar tabāhī pe bahut TuuT ke ro.e

    vo jis darīcha na khulā shaam se pahle

    jab jab bhī zarūrat ke taqāze na hoñ puure

    Dar lagtā hai har roz nayā shaam se pahle

    dillī meñ aur is dil meñ koī farq nahīñ hai

    ujḌā hai ujāle meñ luTā shaam se pahle

    dushman nahīñ yāroñ ke chehre bhī the utre

    jab maiñ ne tirā naam liyā shaam se pahle

    aahang nai rut ka mila sham se pahle

    tab main ne bhi ek sher kaha sham se pahle

    ai chaaragaro raat ki poshak utaro

    mahsus karo dard mera sham se pahle

    us ghar ki tabahi pe bahut TuT ke roe

    wo jis ka daricha na khula sham se pahle

    jab jab bhi zarurat ke taqaze na hon pure

    Dar lagta hai har roz naya sham se pahle

    dilli mein aur is dil mein koi farq nahin hai

    ujDa hai ujale mein luTa sham se pahle

    dushman hi nahin yaron ke chehre bhi the utre

    jab main ne tera nam liya sham se pahle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now