Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon ke darichon se sarab utre hain kitne

Syed Safi Hasan

aankhon ke darichon se sarab utre hain kitne

Syed Safi Hasan

MORE BYSyed Safi Hasan

    āñkhoñ ke darīchoñ se sarāb utre haiñ kitne

    ik jaañ hai magar is pe azaab utre haiñ kitne

    shāyad tumheñ khoī huī jannat kahīñ mil jaa.e

    dekho mirī in āñkhoñ meñ ḳhvāb utre haiñ kitne

    jab sā.at-e-ehsāñ thī to ik buuñd na barsī

    jab uTh ga.e pyāse to sahāb utre haiñ kitne

    duniyā tujhe maiñ dekhūñ to kin āñkhoñ se dekhūñ

    ik shaḳhs ke chehre se naqāb utre haiñ kitne

    har rauzan-e-zindāñ se lahū jhāñk rahā hai

    ghar ghar tirī chāhat ke gulāb utre haiñ kitne

    naġhmoñ fusūñ chāñd zau phuul ḳhushbū

    us husn-e-dil-ārā pe shabāb utre haiñ kitne

    ashkoñ ko safī' hañs ke luTā dil ko lahū kar

    tere liye ab kār-e-savāb utre haiñ kitne

    aankhon ke darichon se sarab utre hain kitne

    ek jaan hai magar is pe azab utre hain kitne

    shayad tumhein khoi hui jannat kahin mil jae

    dekho meri in aankhon mein KHwab utre hain kitne

    jab saat-e-ehsan thi to ek bund na barsi

    jab uTh gae pyase to sahab utre hain kitne

    duniya tujhe main dekhun to kin aankhon se dekhun

    ek shaKHs ke chehre se naqab utre hain kitne

    har rauzan-e-zindan se lahu jhank raha hai

    ghar ghar teri chahat ke gulab utre hain kitne

    naghmon ka fusun chand ki zau phul ki KHushbu

    us husn-e-dil-ara pe shabab utre hain kitne

    ashkon ko safi' hans ke luTa dil ko lahu kar

    tere liye ab kar-e-sawab utre hain kitne

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 364)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now