aansuon ko tabassum ki saughat kar
āñsuoñ ko tabassum kī sauġhāt kar
is hañsī meñ chhupe dard se baat kar
aa.ine jaisī hai dāstāñ ye mirī
tū jahāñ se bhī chāhe savālāt kar
nafratoñ se bahut jal chukī hai zamīñ
ab to maulā mohabbat kī barsāt kar
vaqt hī vaqt hai sab kī ḳhātir tirā
chand lamhoñ kī mujh ko bhī ḳhairāt kar
baa'd muddat ke shām-e-visāl aa.ī hai
shaam ko ai ḳhudā aaj mat raat kar
zikr ho har jagah pe 'umā' bas tirā
apnī ġhazloñ meñ aisī karāmāt kar
aansuon ko tabassum ki saughat kar
is hansi mein chhupe dard se baat kar
aaine jaisi hai dastan ye meri
tu jahan se bhi chahe sawalat kar
nafraton se bahut jal chuki hai zamin
ab to maula mohabbat ki barsat kar
waqt hi waqt hai sab ki KHatir tera
chand lamhon ki mujh ko bhi KHairaat kar
ba'd muddat ke sham-e-visal aai hai
sham ko ai KHuda aaj mat raat kar
zikr ho har jagah pe 'uma' bas tera
apni ghazlon mein aisi karamat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.