Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ke wade kisi kal se bandhe rahte hain

Diya Jeem

aap ke wade kisi kal se bandhe rahte hain

Diya Jeem

MORE BYDiya Jeem

    aap ke va.ade kisī kal se bañdhe rahte haiñ

    chāhne vaale usī pal se bañdhe rahte haiñ

    tañg aa jaatī haiñ pallū se lagī girheñ bhī

    kaise rishte haiñ jo malmal se bañdhe rahte haiñ

    sub.h shabnamī palkoñ ko masalte hue haath

    ik na.e ḳhvāb koñpal se bañdhe rahte haiñ

    khaTTī mīThī koī baat laboñ meñ le kar

    muñh ko Dhāñpe hue āñchal se bañdhe rahte haiñ

    sirf mere bayābāñ pe paḌī os nahīñ

    ashk dariyāoñ ke bādal se bañdhe rahte haiñ

    shaam zulfeñ bikharne se ayaañ hotā hai

    kitne jugnū haiñ jo kājal se bañdhe rahte haiñ

    zindagī sone mohlat nahīñ detī hai 'diyā'

    ḳhvāb ta.abīr ke āñchal se bañdhe rahte haiñ

    aap ke wade kisi kal se bandhe rahte hain

    chahne wale usi pal se bandhe rahte hain

    tang aa jati hain pallu se lagi girhen bhi

    kaise rishte hain jo malmal se bandhe rahte hain

    subh ki shabnami palkon ko masalte hue hath

    ek nae KHwab ki konpal se bandhe rahte hain

    khaTTi miThi si koi baat labon mein le kar

    munh ko Dhanpe hue aanchal se bandhe rahte hain

    sirf mere hi bayaban pe paDi os nahin

    ashk dariyaon ke baadal se bandhe rahte hain

    sham ki zulfen bikharne se ayan hota hai

    kitne jugnu hain jo kajal se bandhe rahte hain

    zindagi sone ki mohlat nahin deti hai 'diya'

    KHwab tabir ke aanchal se bandhe rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now