Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu-e-visal kya matlab

Dr. Naresh

aarzu-e-visal kya matlab

Dr. Naresh

MORE BYDr. Naresh

    ārzū-e-visāl kyā matlab

    ai dil-e-pur-malāl kyā matlab

    TuuT jaa.e to dil qadr baḌhe

    is qadar dekh-bhāl kyā matlab

    be-par-o-bāl tā.eroñ ke liye

    dāna-o-dām-o-jāl kyā matlab

    naaz thā jin ko zabt par apne

    un ke lab par savāl kyā matlab

    maslahat-keshiyoñ ke saath ai dost

    ġhairat-o-infi.āl kyā matlab

    intizār aur us sitamgar

    hasrat-e-pā.emāl kyā matlab

    aa.e aur us kam-āshnā ko 'naresh'

    ġham-zadoñ ḳhayāl kyā matlab

    aarzu-e-visal kya matlab

    ai dil-e-pur-malal kya matlab

    TuT jae to dil ki qadr baDhe

    is qadar dekh-bhaal kya matlab

    be-par-o-baal taeron ke liye

    dana-o-dam-o-jal kya matlab

    naz tha jin ko zabt par apne

    un ke lab par sawal kya matlab

    maslahat-keshiyon ke sath ai dost

    ghairat-o-infial kya matlab

    intizar aur us sitamgar ka

    hasrat-e-paemal kya matlab

    aae aur us kam-ashna ko 'naresh'

    gham-zadon ka KHayal kya matlab

    Source:

    Khushboo Ka Safar (Pg. 69)

    • Author: Dr. Naresh
      • Publisher: Navjot Publications Malerkotla, Punjab
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now