Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aate hain kitne KHwab tere roz-o-shab mujhe

Anamta Ali

aate hain kitne KHwab tere roz-o-shab mujhe

Anamta Ali

MORE BYAnamta Ali

    aate haiñ kitne ḳhvāb tire roz-o-shab mujhe

    vahshat hone lagtī hai koī ajab mujhe

    tum ko maiñ gar qubūl huuñ aise Thiik huuñ

    aatā nahīñ sañvarne koī bhī Dhab mujhe

    zālim hai bādshah ki hai sab pe furāt band

    mahsūs ho rahe haiñ sabhī sūkhe lab mujhe

    bas kuchh dinoñ baat hai maiñ lauT ā.ūñgī

    hargiz sadā na de koī pīchhe se ab mujhe

    ye dekhnā hai kaun mirā is jahān meñ

    yāqūb to āñkheñ atā kar ai rab mujhe

    vo shaḳhs jab ki ab to mirī dastaras meñ hai

    karnī nahīñ hai aur kisī talab mujhe

    bāñdī tarah qaid huuñ us ke huzūr maiñ

    vo bādshah hai aur milegā kab mujhe

    aate hain kitne KHwab tere roz-o-shab mujhe

    wahshat si hone lagti hai koi ajab mujhe

    tum ko main gar qubul hun aise hi Thik hun

    aata nahin sanwarne ka koi bhi Dhab mujhe

    zalim hai baadshah ki hai sab pe furaat band

    mahsus ho rahe hain sabhi sukhe lab mujhe

    bas kuchh dinon ki baat hai main lauT aaungi

    hargiz sada na de koi pichhe se ab mujhe

    ye dekhna hai kaun mera is jahan mein

    yaqub ki to aankhen ata kar ai rab mujhe

    wo shaKHs jab ki ab to meri dastaras mein hai

    karni nahin hai aur kisi ki talab mujhe

    bandi ki tarah qaid hun us ke huzur main

    wo baadshah hai aur milega hi kab mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now