Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aazadi ka manzar achchha lagta hai

Haleem Husain Zaidi

aazadi ka manzar achchha lagta hai

Haleem Husain Zaidi

MORE BYHaleem Husain Zaidi

    āzādī manzar achchhā lagtā hai

    shīsh mahal se chhappar achchhā lagtā hai

    taaj amīr-e-shahr mubārak ho tujh ko

    dīvānoñ ko patthar achchhā lagtā hai

    bachpan kab biit chukā phir bhī mujh ko

    maañ ke haath bistar achchhā lagtā hai

    mere lahū ko paanī ab chaah kahāñ

    ḳhushk gale par ḳhanjar achchhā lagtā hai

    terī yaad chāñd nikaltā hai jis dam

    mujh ko akele shab bhar achchhā lagtā hai

    apnoñ meñ tanhā.ī ab ehsās na pūchh

    ghar vāloñ se be-ghar achchhā lagtā hai

    kaun hai kis pe nazr kareñ ham sar apnā

    ham ko terā sañg-e-dar achchhā lagtā hai

    apnī zaat ke andar kab tak qaid rahūñ

    mujh ko ḳhud se bāhar achchhā lagtā hai

    maañ ke haath ke bhaat ke lazzat mat pūchho

    saath meñ us ke kañkar achchhā lagtā hai

    himmat hai to dushman se bhī pyaar karo

    yuuñ to sab ko dilbar achchhā lagtā hai

    jab bhī namāz-e-fazr adā kar lete haiñ

    qasam ḳhudā din bhar achchhā lagtā hai

    varna pyaas dil ko bahlātī hai 'halīm'

    tere naam sāġhar achchhā lagtā hai

    aazadi ka manzar achchha lagta hai

    shish mahal se chhappar achchha lagta hai

    taj amir-e-shahr mubarak ho tujh ko

    diwanon ko patthar achchha lagta hai

    bachpan kab ka bit chuka phir bhi mujh ko

    man ke hath ka bistar achchha lagta hai

    mere lahu ko pani ki ab chah kahan

    KHushk gale par KHanjar achchha lagta hai

    teri yaad ka chand nikalta hai jis dam

    mujh ko akele shab bhar achchha lagta hai

    apnon mein tanhai ka ab ehsas na puchh

    ghar walon se be-ghar achchha lagta hai

    kaun hai kis pe nazr karen hum sar apna

    hum ko tera sang-e-dar achchha lagta hai

    apni zat ke andar kab tak qaid rahun

    mujh ko KHud se bahar achchha lagta hai

    man ke hath ke bhat ke lazzat mat puchho

    sath mein us ke kankar achchha lagta hai

    himmat hai to dushman se bhi pyar karo

    yun to sab ko dilbar achchha lagta hai

    jab bhi namaz-e-fazr ada kar lete hain

    qasam KHuda ki din bhar achchha lagta hai

    warna pyas hi dil ko bahlati hai 'halim'

    tere nam ka saghar achchha lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now