Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab mulaqat ek kaam hui

Mohammad Javed Anwar

ab mulaqat ek kaam hui

Mohammad Javed Anwar

MORE BYMohammad Javed Anwar

    ab mulāqāt ek kaam huī

    ye mohabbat bhī yuuñ tamām huī

    ham ne go ḳhuub bāñdh tamhīd

    āḳhirash bas usī naam huī

    ab tumheñ vaqt chāhiye vaah vaah

    merī nā-vaqt ke ḳhaam huī

    bech kar tum ne kharī qīmat

    ḳhvāh vo dirham huī ki daam huī

    maut se ḳhuub yāriyāñ gāñThīñ

    tab kahīñ ke ziist raam huī

    terī raushan jabīñ se zulfoñ tak

    zindagānī sub.h shaam huī

    zindagī hai tavīl sab ne kahā

    chal ke dekhā to ek gaam huī

    ab mulaqat ek kaam hui

    ye mohabbat bhi yun tamam hui

    hum ne go KHub bandh li tamhid

    aaKHirash bas usi ka nam hui

    ab tumhein waqt chahiye wah wah

    meri na-waqt ja ke KHam hui

    bech kar tum ne ki khari qimat

    KHwah wo dirham hui ki dam hui

    maut se KHub yariyan ganThin

    tab kahin ja ke zist ram hui

    teri raushan jabin se zulfon tak

    zindagani ki subh sham hui

    zindagi hai tawil sab ne kaha

    chal ke dekha to ek gam hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now