ab riwayat na kisi rasm ko main manunga
ab rivāyat na kisī rasm ko maiñ mānūñgā
apne hī Dhang se har chiiz ko pahchānūñgā
jhūTh ke pīchhe koī sach bhī nihāñ hotā hai
ab kisī jhūTh ko maiñ jhūTh nahīñ mānūñgā
'umr saarī to kaTī merī añdheroñ hī meñ
raushnī aa.ī to kaise use pahchānūñgā
jis ke siine meñ dayā dil meñ bhalā.ī hogī
maiñ to us shaḳhs ko duniyā kā ḳhudā mānūñgā
ab riwayat na kisi rasm ko main manunga
apne hi Dhang se har chiz ko pahchanunga
jhuTh ke pichhe koi sach bhi nihan hota hai
ab kisi jhuTh ko main jhuTh nahin manunga
'umr sari to kaTi meri andheron hi mein
raushni aai to kaise use pahchanunga
jis ke sine mein daya dil mein bhalai hogi
main to us shaKHs ko duniya ka KHuda manunga
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 57)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.