aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adu ke kahne se mujhko zalil-o-KHwar kiya

Munni Bai Hijab

adu ke kahne se mujhko zalil-o-KHwar kiya

Munni Bai Hijab

MORE BYMunni Bai Hijab

    adū ke kahne se mujh ko zalīl-o-ḳhvār kiyā

    sazā ye us hai maiñ ne jo tum ko pyaar kiyā

    na hogā dāvar-e-mahshar ke aage hashr meñ bhī

    ki umr bhar usī kāfir ko maiñ ne pyaar kiyā

    ham aur beach meñ aate haiñ un bātoñ ke

    unhoñ ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā

    batā to charḳh bhalā us se tujh ko kyā hāsil

    kisī sheva-e-zātī jo iḳhtiyār kiyā

    mazā yahī hai ki tarfain se hue be chīnī

    mire taḌapne ne un ko bhī be-qarār kiyā

    hamārī na.ash ko Thokar lagā ke us ne kahā

    hamāre aane kyā ḳhuub intizār kiyā

    burā kiyā jo kahā un se mudda.ā dil

    ġhazab kiyā jo mohabbat ko āshkār kiyā

    adu ke kahne se mujh ko zalil-o-KHwar kiya

    saza ye us ki hai main ne jo tum ko pyar kiya

    na hoga dawar-e-mahshar ke aage hashr mein bhi

    ki umr bhar usi kafir ko main ne pyar kiya

    hum aur beach mein aate hain un ki baaton ke

    unhon ne wada kiya hum ne e'tibar kiya

    bata to charKH bhala us se tujh ko kya hasil

    kisi ka shewa-e-zati jo iKHtiyar kiya

    maza yahi hai ki tarfain se hue be chini

    mere taDapne ne un ko bhi be-qarar kiya

    hamari nash ko Thokar laga ke us ne kaha

    hamare aane ka kya KHub intizar kiya

    bura kiya jo kaha un se muddaa dil ka

    ghazab kiya jo mohabbat ko aashkar kiya

    Source:

    Shairat-e-Bangala (Pg. 113)

    • Author: Alif Ansari
      • Publisher: Shab-e-Noor Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now