Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab KHulus ajab sadgi se karta hai

Atul Ajnabi

ajab KHulus ajab sadgi se karta hai

Atul Ajnabi

MORE BYAtul Ajnabi

    ajab ḳhulūs ajab sādgī se kartā hai

    daraḳht nekī baḌī ḳhāmoshī se kartā hai

    maiñ us dost huuñ achchhā yahī nahīñ kaafī

    umiid aur bhī kuchh dostī se kartā hai

    javāb dene ko chāhtā nahīñ us ko

    savāl vaise baḌī ājizī se kartā hai

    jise pata nahīñ shā.irī fan kyā hai

    vo kārobār yahāñ shā.irī se kartā hai

    samundaroñ se laḌe to use pata bhī chale

    laḌā.ī kartā hai to bhī nadī se kartā hai

    na.ī nahīñ hai ye us purānī aadat hai

    shikāyateñ hoñ kisī kisī se kartā hai

    muqāble ke liye log aur bhī haiñ magar

    muqābla vo atul-'ajnabī' se kartā hai

    ajab KHulus ajab sadgi se karta hai

    daraKHt neki baDi KHamoshi se karta hai

    main us ka dost hun achchha yahi nahin kafi

    umid aur bhi kuchh dosti se karta hai

    jawab dene ko ji chahta nahin us ko

    sawal waise baDi aajizi se karta hai

    jise pata hi nahin shairi ka fan kya hai

    wo karobar yahan shairi se karta hai

    samundaron se laDe to use pata bhi chale

    laDai karta hai to bhi nadi se karta hai

    nai nahin hai ye us ki purani aadat hai

    shikayaten hon kisi ki kisi se karta hai

    muqable ke liye log aur bhi hain magar

    muqabla wo atul-'ajnabi' se karta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now