apne ghar ka yun pata deta hai
apne ghar kā yuuñ pata detā hai
koī tasvīr dikhā detā hai
pahle pahle to gale miltā thā
aaj kal haath hilā detā hai
sub.h kā ek akelā sūraj
sab charāġhoñ ko bujhā detā hai
gaañv kā ek purānā sā khañDar
kitnī pushtoñ kā pata detā hai
us meñ gum hai mirī ġhazloñ kā hunar
jaisā chāhe vo likhā detā hai
koī darvesh nahīñ vo lekin
choT khātā hai du'ā detā hai
apne ghar ka yun pata deta hai
koi taswir dikha deta hai
pahle pahle to gale milta tha
aaj kal hath hila deta hai
subh ka ek akela suraj
sab charaghon ko bujha deta hai
ganw ka ek purana sa khanDar
kitni pushton ka pata deta hai
us mein gum hai meri ghazlon ka hunar
jaisa chahe wo likha deta hai
koi darwesh nahin wo lekin
choT khata hai du'a deta hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 62)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.