Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne mazi ko charaghon mein basar humne kiya

Moid Rahbar

apne mazi ko charaghon mein basar humne kiya

Moid Rahbar

MORE BYMoid Rahbar

    apne maazī ko charāġhoñ meñ basar ham ne kiyā

    kaT ga.ī raat to dīdār-e-sahar ham ne kiyā

    sirf jañgeñ nahīñ jiitī haiñ haiñ is duniyā meñ

    ma.arka ishq ke maidāñ bhī sar ham ne kiyā

    dekhne vāloñ hairat Thikāna na rahā

    ek patthar ko jo chamkā ke guhar ham ne kiyā

    chāñd meñ aks nazar aayā hai terā jab se

    husn vaale tujhe manzūr-e-nazar ham ne kiyā

    kaun sach boltā hai zālim-o-jābir ke ḳhilāf

    kaam duniyā meñ ye be-ḳhauf-o-ḳhatar ham ne kiyā

    bhuul paanā use āsāñ to nahīñ thā yaaro

    kaam ye thoḌā mushkil thā magar ham ne kiyā

    tab kahīñ ke ġhazal rañg hai laa.ī 'rahbar'

    sirf ash.ār meñ jab ḳhūn-e-jigar ham ne kiyā

    apne mazi ko charaghon mein basar hum ne kiya

    kaT gai raat to didar-e-sahar hum ne kiya

    sirf jangen hi nahin jiti hain hain is duniya mein

    marka ishq ke maidan ka bhi sar hum ne kiya

    dekhne walon ki hairat ka Thikana na raha

    ek patthar ko jo chamka ke guhar hum ne kiya

    chand mein aks nazar aaya hai tera jab se

    husn wale tujhe manzur-e-nazar hum ne kiya

    kaun sach bolta hai zalim-o-jabir ke KHilaf

    kaam duniya mein ye be-KHauf-o-KHatar hum ne kiya

    bhul pana use aasan to nahin tha yaro

    kaam ye thoDa sa mushkil tha magar hum ne kiya

    tab kahin ja ke ghazal rang hai lai 'rahbar'

    sirf ashaar mein jab KHun-e-jigar hum ne kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now