Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni KHata ki rakh ke dil zauq-e-KHalish na pa sake

Ameer Raza Mazhari

apni KHata ki rakh ke dil zauq-e-KHalish na pa sake

Ameer Raza Mazhari

MORE BYAmeer Raza Mazhari

    apnī ḳhatā ki rakh ke dil zauq-e-ḳhalish na sake

    aql jhiḌkiyāñ sahīñ par na fareb khā sake

    hijr bhī ek vahm hai vasl bhī ik fareb thā

    kho ke na tum ko kho sake ke na tum ko sake

    terī nazar ne bazm meñ uTh ke hameñ biThā diyā

    uTThe to baar baar ham uTh ke magar na sake

    jur.at-e-tark-e-āshiqī mujh se na ho sakī kabhī

    apne ko aazmā liyā tum ko na aazmā sake

    kahte haiñ ma.arifat jise vo bhī hai e'tirāf-e-ijz

    us ko ḳhudā samajh liyā jo na samajh meñ aa sake

    ishq usī mustanad shauq usī mo'atabar

    terī nigāh se bhī jo rāz-e-nazar chhupā sake

    bas isī talḳh yaad par ḳhatm hai dāstān-e-dil

    tum ne hameñ bhulā diyā ham na tumheñ bhulā sake

    aa.e vo mai-kade meñ kyoñ us jagah haram meñ hai

    aañkh bachā ke jo piye ke na laḌkhaḌā sake

    vo jo hai banda-e-vafā kahte haiñ sab jise 'razā'

    us bhalā majāl kyā tum se nazar milā sake

    apni KHata ki rakh ke dil zauq-e-KHalish na pa sake

    aql ki jhiDkiyan sahin par na fareb kha sake

    hijr bhi ek wahm hai wasl bhi ek fareb tha

    kho ke na tum ko kho sake pa ke na tum ko pa sake

    teri nazar ne bazm mein uTh ke hamein biTha diya

    uTThe to bar bar hum uTh ke magar na ja sake

    jurat-e-tark-e-ashiqi mujh se na ho saki kabhi

    apne ko aazma liya tum ko na aazma sake

    kahte hain marifat jise wo bhi hai e'tiraf-e-ijz

    us ko KHuda samajh liya jo na samajh mein aa sake

    ishq usi ka mustanad shauq usi ka mo'atabar

    teri nigah se bhi jo raaz-e-nazar chhupa sake

    bas isi talKH yaad par KHatm hai dastan-e-dil

    tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake

    aae wo mai-kade mein kyon us ki jagah haram mein hai

    aankh bacha ke jo piye pi ke na laDkhaDa sake

    wo jo hai banda-e-wafa kahte hain sab jise 'raza'

    us ki bhala majal kya tum se nazar mila sake

    Source:

    Khar-o-Khas (Pg. 65)

    • Author: Ameer Raza Mazhari
      • Publisher: Maktaba-e-Irtiqa-e-Adab, Karachi
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now