Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

arbab-e-iqtidar se mera sawal hai

Khaleequzzaman Nusrat

arbab-e-iqtidar se mera sawal hai

Khaleequzzaman Nusrat

MORE BYKhaleequzzaman Nusrat

    arbāb-e-iqtidār se merā savāl hai

    ye daur-e-irtiqā hai ki daur-e-zavāl hai

    jab jab lage hai aag hamāre ghar jaleñ

    ye baat ittifāq hai gahrī chaal

    kaisī munāfiqoñ hai sāzish na pūchhiye

    TuuTe na jo vo reshmī dhāgoñ jaal hai

    aise meñ ḳhvāb āñkhoñ meñ koī sajā.e kyā

    vo habs hai ki chain se sonā muhāl hai

    ham to azāb-e-tishna-labī se haiñ nīm-jāñ

    guzrī hai jaane kyā ki samundar niDhāl hai

    hālāt-o-kaifiyāt tasvīr khīñchnā

    'nusrat' nahīñ tirā ye suḳhan kamāl hai

    arbab-e-iqtidar se mera sawal hai

    ye daur-e-irtiqa hai ki daur-e-zawal hai

    jab jab lage hai aag hamare hi ghar jalen

    ye baat ittifaq hai ya gahri chaal

    kaisi munafiqon ki hai sazish na puchhiye

    TuTe na jo wo reshmi dhagon ka jal hai

    aise mein KHwab aankhon mein koi sajae kya

    wo habs hai ki chain se sona muhaal hai

    hum to azab-e-tishna-labi se hain nim-jaan

    guzri hai jaane kya ki samundar niDhaal hai

    haalat-o-kaifiyat ki taswir khinchna

    'nusrat' nahin tera ye suKHan ka kamal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now