aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati

Bakhsh Layalpuri

asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati

Bakhsh Layalpuri

MORE BYBakhsh Layalpuri

    asīrān-e-havādis girāñ-jānī nahīñ jaatī

    jahāñ se ḳhūn-e-insānī arzānī nahīñ jaatī

    daroġh-e-maslahat ke dekh kar āsār chehroñ par

    haqīqat-āshnā āñkhoñ hairānī nahīñ jaatī

    nishān-e-khusravī to miT ga.e haiñ lauh-e-ālam se

    kulāh-e-khusravī se bū-e-sultānī nahīñ jaatī

    añdherā is qadar hai shahr par chhāyā siyāsat

    kisī bhī shaḳhs ab shakl pahchānī nahīñ jaatī

    zamāna karbalā naam sun kar kaañp uThtā hai

    abhī tak ḳhūn-e-shabbīrī jaulānī nahīñ jaatī

    fuzūñ-tar aur hote rahe haiñ chaak dāman ke

    rafū-gar se hamārī chāk-dāmānī nahīñ jaatī

    ye maanā raushnī ko ga.ī zulmat jihālat

    magar is zarra-e-ḳhākī tābānī nahīñ jaatī

    asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati

    jahan se KHun-e-insani ki arzani nahin jati

    darogh-e-maslahat ke dekh kar aasar chehron par

    haqiqat-ashna aankhon ki hairani nahin jati

    nishan-e-khusrawi to miT gae hain lauh-e-alam se

    kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati

    andhera is qadar hai shahr par chhaya siyasat ka

    kisi bhi shaKHs ki ab shakl pahchani nahin jati

    zamana karbala ka nam sun kar kanp uThta hai

    abhi tak KHun-e-shabbiri ki jaulani nahin jati

    fuzun-tar aur hote ja rahe hain chaak daman ke

    rafu-gar se hamari chaak-damani nahin jati

    ye mana raushni ko pi gai zulmat jihaalat ki

    magar is zarra-e-KHaki ki tabani nahin jati

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 244)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now