Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe

Sayyada Humaa Shah

azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe

Sayyada Humaa Shah

MORE BYSayyada Humaa Shah

    azāb-e-dīd muzhda sunā rahā hai mujhe

    kisī baat sunā kar jalā rahā hai mujhe

    vo apne sach ko kabhī kar nahīñ sakā sābit

    jo ek 'umr se jhūTā banā rahā hai mujhe

    jo shaḳhs miim ke mafhūm tak nahīñ pahuñchā

    ḳhudā shaan mohabbat sikhā rahā hai mujhe

    use 'urūj mafhūm aa gayā hai samajh

    so is liye bhī nazar se haTā rahā hai mujhe

    hisār-e-ranj-o-alam TūTtā nahīñ kyūñ-kar

    ye hādsāt ronā rulā rahā hai mujhe

    maiñ be-yaqīnī ke sahrā ko paar to kar luuñ

    magar jo ek samundar bulā rahā hai mujhe

    azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe

    kisi ki baat suna kar jala raha hai mujhe

    wo apne sach ko kabhi kar nahin saka sabit

    jo ek 'umr se jhuTa bana raha hai mujhe

    jo shaKHs mim ke mafhum tak nahin pahuncha

    KHuda ki shan mohabbat sikha raha hai mujhe

    use 'uruj ka mafhum aa gaya hai samajh

    so is liye bhi nazar se haTa raha hai mujhe

    hisar-e-ranj-o-alam TuTta nahin kyun-kar

    ye hadsat ka rona rula raha hai mujhe

    main be-yaqini ke sahra ko par to kar lun

    magar jo ek samundar bula raha hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now