aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne

Shabbeer Ehram

babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne

Shabbeer Ehram

MORE BYShabbeer Ehram

    babūl kar diyā badan javāñ rutoñ chaah ne

    jalā diyā gulāb ko chaman sard aah ne

    sitam-zarīf yuuñ adālatoñ meñ chup khaḌe haiñ sab

    ki jaise liye hoñ lab subūt ne gavāh ne

    kisī ko ḳhaas manziloñ shauq aam kar gayā

    kisī ko ḳhaas kar diyā hai aam shāhrāh ne

    nigāh-e-be-zabān ne girā diyā zamīn par

    chaḌhā diyā hai daar par zabān-e-be-nigāh ne

    vahī nagīne pattharoñ ke daam bik rahe haiñ ab

    kabhī jo taaj meñ lagā rakhe the tere shaah ne

    maiñ āḳhirī ġhazal sunā ke uTh rahā thā bazm se

    ki muuD phir banā diyā kisī vaah vaah ne

    babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne

    jala diya gulab ko chaman ki sard aah ne

    sitam-zarif yun adalaton mein chup khaDe hain sab

    ki jaise si liye hon lab subut ne gawah ne

    kisi ko KHas manzilon ka shauq aam kar gaya

    kisi ko KHas kar diya hai aam shahrah ne

    nigah-e-be-zaban ne gira diya zamin par

    chaDha diya hai dar par zaban-e-be-nigah ne

    wahi nagine pattharon ke dam bik rahe hain ab

    kabhi jo taj mein laga rakhe the tere shah ne

    main aaKHiri ghazal suna ke uTh raha tha bazm se

    ki muD phir bana diya kisi ki wah wah ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now