Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas zara der se ehsas hua tha mujhko

Tariq Qamar

bas zara der se ehsas hua tha mujhko

Tariq Qamar

MORE BYTariq Qamar

    bas zarā der se ehsās huā thā mujh ko

    vo bhī merī tarah soch rahā thā mujh ko

    ye ik shaḳhs bhaTaktā hai jo sahrā sahrā

    ek din shahr-e-tamannā meñ milā thā mujh ko

    maiñ to maujūd thā har dam tire afsāne meñ

    mere raavī ne magar maar diyā thā mujh ko

    maiñ ne jab us ko batāyā to zarā abr chhaTā

    us ne auroñ zabānī sunā thā mujh ko

    aur phir kah diyā maiñ ne bhī ik din āmīn

    vo duāoñ meñ bahut maañg rahā thā mujh ko

    ho na ho vo pas-e-dīvār abhī hai maujūd

    raushnī abhī ehsās huā thā mujh ko

    ye na sochā thā ki is rañj pe honā hai tamām

    ḳhatm honā hai ta.alluq ye patā thā mujh ko

    ye jo pathrā.ī āñkheñ haiñ usī shaḳhs haiñ

    jis ne raste meñ kabhī chhoḌ diyā thā mujh ko

    iḳhtiyār us havāoñ pe nahīñ thā 'tāriq'

    us ne dahlīz pe raushan to kiyā thā mujh ko

    bas zara der se ehsas hua tha mujh ko

    wo bhi meri hi tarah soch raha tha mujh ko

    ye hi ek shaKHs bhaTakta hai jo sahra sahra

    ek din shahr-e-tamanna mein mila tha mujh ko

    main to maujud tha har dam tere afsane mein

    mere rawi ne magar mar diya tha mujh ko

    main ne jab us ko bataya to zara abr chhaTa

    us ne auron ki zabani hi suna tha mujh ko

    aur phir kah hi diya main ne bhi ek din aamin

    wo duaon mein bahut mang raha tha mujh ko

    ho na ho wo pas-e-diwar abhi hai maujud

    raushni ka abhi ehsas hua tha mujh ko

    ye na socha tha ki is ranj pe hona hai tamam

    KHatm hona hai talluq ye pata tha mujh ko

    ye jo pathrai si aankhen hain usi shaKHs ki hain

    jis ne raste mein kabhi chhoD diya tha mujh ko

    iKHtiyar us ka hawaon pe nahin tha 'tariq'

    us ne dahliz pe raushan to kiya tha mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now