Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai

Charagh Sharma

chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai

Charagh Sharma

MORE BYCharagh Sharma

    chaman meñ kaun babūloñ Daal khīñchtā hai

    yahāñ jo aatā hai phūloñ ke gaal khīñchtā hai

    vo tiir baa'd meñ pahle savāl khīñchtā hai

    savāl bhī jo samā'at khaal khīñchtā hai

    ai pyaar bāñTne vaale maiñ ḳhuub jāntā huuñ

    ki kitnī der meñ machhvārā jaal khīñchtā hai

    nikal bhī saktā huuñ qaid-e-taḳhayyulāt se gar

    vo shaḳhs khīñch le jis ḳhayāl khīñchtā hai

    maiñ us ke aage nahīñ khīñchtā niyām se teġh

    vo sher-shāh jo dushman Dhaal khīñchtā hai

    ye sard sub.h meñ soyā sharārtī sūraj

    bas aañkh khulte pariyoñ shaal khīñchtā hai

    maiñ hosh-mand huuñ ḳhud bhī so merī ġhazloñ meñ

    na raqs kartā hai 'āshiq na baal khīñchtā hai

    chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai

    yahan jo aata hai phulon ke gal khinchta hai

    wo tir ba'd mein pahle sawal khinchta hai

    sawal bhi jo sama'at ki khaal khinchta hai

    ai pyar banTne wale main KHub jaanta hun

    ki kitni der mein machhwara jal khinchta hai

    nikal bhi sakta hun qaid-e-taKHayyulat se gar

    wo shaKHs khinch le jis ka KHayal khinchta hai

    main us ke aage nahin khinchta niyam se tegh

    wo sher-shah jo dushman ki Dhaal khinchta hai

    ye sard subh mein soya shararti suraj

    bas aankh khulte hi pariyon ki shaal khinchta hai

    main hosh-mand hun KHud bhi so meri ghazlon mein

    na raqs karta hai 'ashiq na baal khinchta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now