aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard minnat-kash-e-darman ho zaruri to nahin

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

dard minnat-kash-e-darman ho zaruri to nahin

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    dard minnat-kash-e-darmāñ ho zarūrī to nahīñ

    zaḳhm marham ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ

    dil gahrā.ī meñ dāġhoñ ke chaman khilte haiñ

    merā har zaḳhm numāyāñ ho zarūrī to nahīñ

    aag hai donoñ taraf garche barābar lagī

    phir bhī mujh vo pareshāñ ho zarūrī to nahīñ

    hijr meñ tere tasavvur ke maze kyā kahne

    har koī diid ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ

    muntazir maiñ tire aane rahūñgā har-dam

    jhūTā har ik tirā paimāñ ho zarūrī to nahīñ

    dil se chāhūñ maiñ jise vo bhī to chāhe mujh ko

    puurā aisā kabhī armāñ ho zarūrī to nahīñ

    maut aatī hai kabhī mādar-e-mushfiq tarah

    is se har shaḳhs gurezāñ ho zarūrī to nahīñ

    ishq ne nāseh-e-mushfiq sunī kab thī

    aql dil nigahbāñ ho zarūrī to nahīñ

    khete kis vāste kashtī ko ho sāhil sāhil

    na yahāñ ḳhatra-e-tūfāñ ho zarūrī to nahīñ

    maiñ samajhtā to huuñ anjām-e-mohabbat ko 'habīb'

    dil is anjām se larzāñ ho zarūrī to nahīñ

    dard minnat-kash-e-darman ho zaruri to nahin

    zaKHm marham ka hi KHwahan ho zaruri to nahin

    dil ki gahrai mein daghon ke chaman khilte hain

    mera har zaKHm numayan ho zaruri to nahin

    aag hai donon taraf garche barabar ki lagi

    phir bhi mujh sa wo pareshan ho zaruri to nahin

    hijr mein tere tasawwur ke maze kya kahne

    har koi did ka KHwahan ho zaruri to nahin

    muntazir main tere aane ka rahunga har-dam

    jhuTa har ek tera paiman ho zaruri to nahin

    dil se chahun main jise wo bhi to chahe mujh ko

    pura aisa kabhi arman ho zaruri to nahin

    maut aati hai kabhi madar-e-mushfiq ki tarah

    is se har shaKHs gurezan ho zaruri to nahin

    ishq ne naseh-e-mushfiq ki suni hi kab thi

    aql hi dil ki nigahban ho zaruri to nahin

    khete kis waste kashti ko ho sahil sahil

    na yahan KHatra-e-tufan ho zaruri to nahin

    main samajhta to hun anjam-e-mohabbat ko 'habib'

    dil is anjam se larzan ho zaruri to nahin

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 73)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now