aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya

Hiamanshu Panday

dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya

Hiamanshu Panday

MORE BYHiamanshu Panday

    darīche darīche the koī bhī dar nahīñ aayā

    sadāoñ kamī thī kyā jo bāhar nahīñ aayā

    agar hai daulatoñ meñ dam ḳharīdo tum mirā saaya

    maiñ vo baijū jo akbar ke bulāne par nahīñ aayā

    bahut mīThā lagtā hai tirī āñkhoñ paanī kyoñ

    tirī āñkhoñ ke hisse kyā kabhī sāgar nahīñ aayā

    hazāroñ log bas ye jism chhū kar lauT jaate haiñ

    huā arsa koī is ruuh ke andar nahīñ aayā

    hamāre ġham paimāna hai ab to ausatan itnā

    kabhī mausam bahāroñ ziyāda-tar nahīñ aayā

    dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya

    sadaon ki kami thi kya jo tu bahar nahin aaya

    agar hai daulaton mein dam KHarido tum mera saya

    main wo baiju jo akbar ke bulane par nahin aaya

    bahut miTha sa lagta hai teri aankhon ka pani kyon

    teri aankhon ke hisse kya kabhi sagar nahin aaya

    hazaron log bas ye jism chhu kar lauT jate hain

    hua arsa koi is ruh ke andar nahin aaya

    hamare gham ka paimana hai ab to ausatan itna

    kabhi mausam bahaaron ka ziyaada-tar nahin aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now