Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi

Farogh Zaidi

dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi

Farogh Zaidi

MORE BYFarogh Zaidi

    dil ke andar ik zarā be-kalī hai aaj bhī

    jo mire afkār meñ ras gholtī hai aaj bhī

    yuuñ to vo dīvār ban ke aa gayā hai darmiyāñ

    merī apne aap se kuchh dostī hai aaj bhī

    pattharoñ par chal ke sab ne paañv zaḳhmī kar liye

    jabki us ke dar rasta maḳhmalī hai aaj bhī

    ruḳh havāoñ badalnā jānte haiñ log jo

    bas unhīñ ke har diye meñ raushnī hai aaj bhī

    jin savāloñ nahīñ hotā koī musbat javāb

    un savāloñ se ulajhtā aadmī hai aaj bhī

    sīkhtā hai yuuñ to insāñ har tarīqe zabāñ

    sab se āsāñ sab se behtar ḳhāmushī hai aaj bhī

    jis ke chalte maiñ ne DhūñDe the ka.ī raste na.e

    DhūñDhtī mujh ko vahī āvārgī hai aaj bhī

    kitne Duube kitne ubhre kyā ḳhabar un ko 'faroġh'

    bah rahī chup-chāp yuuñ har nadī hai aaj bhī

    dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi

    jo mere afkar mein ras gholti hai aaj bhi

    yun to wo diwar ban ke aa gaya hai darmiyan

    meri apne aap se kuchh dosti hai aaj bhi

    pattharon par chal ke sab ne panw zaKHmi kar liye

    jabki us ke dar ka rasta maKHmali hai aaj bhi

    ruKH hawaon ka badalna jaante hain log jo

    bas unhin ke har diye mein raushni hai aaj bhi

    jin sawalon ka nahin hota koi musbat jawab

    un sawalon se ulajhta aadmi hai aaj bhi

    sikhta hai yun to insan har tariqe ki zaban

    sab se aasan sab se behtar KHamushi hai aaj bhi

    jis ke chalte main ne DhunDe the kai raste nae

    DhunDhti mujh ko wahi aawargi hai aaj bhi

    kitne Dube kitne ubhre kya KHabar un ko 'farogh'

    bah rahi chup-chap yun hi har nadi hai aaj bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now