Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae

Farogh Zaidi

gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae

Farogh Zaidi

MORE BYFarogh Zaidi

    ġham-e-hijrāñ se zarā yuuñ bhī nibhā.ī jaa.e

    mahfil-e-ġhair sahī aaj sajā.ī jaa.e

    iḳhtilāfāt buniyād hai gahrī lekin

    is pe nafrat na dīvār uThā.ī jaa.e

    pahle manzil ham apnī to ta.ayyun kar leñ

    phir zamāne ko koī raah dikhā.ī jaa.e

    mai ke baare meñ ḳhayālāt badal jā.eñge

    hazrat-e-shaiḳh ko thoḌī pilā.ī jaa.e

    sab ke a.amāl pe tanqīd hai sheva jis

    baat kirdār pe us ke bhī uThā.ī jaa.e

    yuuñ aqvām taqdīr sañvartī hai 'faroġh'

    ne.amat-e-ilm pe kuchh baat chalā.ī jaa.e

    gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae

    mahfil-e-ghair sahi aaj sajai jae

    iKHtilafat ki buniyaad hai gahri lekin

    is pe nafrat ki na diwar uThai jae

    pahle manzil ka hum apni to tayyun kar len

    phir zamane ko koi rah dikhai jae

    mai ke bare mein KHayalat badal jaenge

    hazrat-e-shaiKH ko thoDi si pilai jae

    sab ke aamal pe tanqid hai shewa jis ka

    baat kirdar pe us ke bhi uThai jae

    yun hi aqwam ki taqdir sanwarti hai 'farogh'

    neamat-e-ilm pe kuchh baat chalai jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now