Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue

Iqbal Anjum

gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue

Iqbal Anjum

MORE BYIqbal Anjum

    gard-e-safar meñ aañkh se ojhal kitne rah-gīr hue

    jitne sāya-dār shajar the raah meñ dāman-gīr hue

    jīvan bhar bandhan ham to ghar se toḌ ke nikle the

    lekin kuchh an-jāne rishte pairoñ zanjīr hue

    khel khel meñ ek khilaunā haath se gir kar TuuT gayā

    nanhe munne hañste bachche ashkoñ tasvīr hue

    ham ne jo tahrīreñ likkhīñ sab sab matrūk huiiñ

    vaqt ke hāthoñ ham bhī kaisī be-ma.anī tafsīr hue

    gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue

    jitne saya-dar shajar the rah mein daman-gir hue

    jiwan bhar ka bandhan hum to ghar se toD ke nikle the

    lekin kuchh an-jaane rishte pairon ki zanjir hue

    khel hi khel mein ek khilauna hath se gir kar TuT gaya

    nanhe munne hanste bachche ashkon ki taswir hue

    hum ne jo tahriren likkhin sab ki sab matruk huin

    waqt ke hathon hum bhi kaisi be-mani tafsir hue

    Source:

    سکوت دشت (Pg. 71)

    • Author: اقبال انجم
      • Publisher: ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now