Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ghazal to mere hathon se misali ho jae

Azhar Bakhsh Azhar

ek ghazal to mere hathon se misali ho jae

Azhar Bakhsh Azhar

MORE BYAzhar Bakhsh Azhar

    ik ġhazal to mire hāthoñ se misālī ho jaa.e

    kaash ke mirā mahbūb-e-ḳhayālī ho jaa.e

    dekh le mirī jānib jo uThā kar nazreñ

    chashm-e-pur-nam jo tirī hai vo ġhazālī ho jaa.e

    chāñd se ruḳh pe jo phirte ho lagā kar goggle

    eid kar le na koī kuchh dīvālī ho jaa.e

    sāmne us ko maiñ rakhtā huuñ ġhazal kahtā huuñ jab

    is ġhazal-goī naqqālī pe taalī ho jaa.e

    dil meñ hai mire aayat pākīza par

    ye duā kar mirī niyyat na jamālī ho jaa.e

    ḳhair se apnā ye netā bhī hai behis varna

    shakl jo us hai chamkīlī vo kaalī ho jaa.e

    ab bhī ho saktī hai īmān raunaq 'az.har'

    ik azaañ phir jo añdheroñ meñ bilālī ho jaa.e

    ek ghazal to mere hathon se misali ho jae

    kash ke tu mera mahbub-e-KHayali ho jae

    dekh le tu meri jaanib jo uTha kar nazren

    chashm-e-pur-nam jo teri hai wo ghazali ho jae

    chand se ruKH pe jo phirte ho laga kar goggle

    eid kar le na koi kuchh ki diwali ho jae

    samne us ko main rakhta hun ghazal kahta hun jab

    is ghazal-goi ki naqqali pe tali ho jae

    dil mein tu hai mere aayat ki si pakiza par

    ye dua kar meri niyyat na jamali ho jae

    KHair se apna ye neta bhi hai behis warna

    shakl jo us ki hai chamkili wo kali ho jae

    ab bhi ho sakti hai iman ki raunaq 'azhar'

    ek azan phir jo andheron mein bilali ho jae

    Source:

    Mahboob-e-Khayali (Pg. 54)

    • Author: Azhar Bakhsh Azhar
      • Publisher: Adab Nawaz Publication, Jaipur
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now