Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek wahi KHush-jamal thoDi hai

Mukarram Husain Awan Zamzam

ek wahi KHush-jamal thoDi hai

Mukarram Husain Awan Zamzam

MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam

    ik vahī ḳhush-jamāl thoḌī hai

    husn vāloñ kaal thoḌī hai

    tazkira be-vafā ho rahā hai

    ye tumhārī misāl thoḌī hai

    ye jo hijrat hai 'ārzī hai janāb

    mustaqil intiqāl thoḌī hai

    dard-e-hijrāñ ne ye kiyā sābit

    har kisī ko zavāl thoḌī hai

    kyuuñ tujhe shāmil-e-darūd karūñ

    to mohammad aal thoḌī hai

    tujhe apnā samajh ke māñgā hai

    har kisī se savāl thoḌī hai

    kyā zarūrī hai sab zabāñ se kahūñ

    chashm-e-pur-nam haal thoḌī hai

    ye mohabbat rahegī mahshar tak

    ek shab visāl thoḌī hai

    aañkh bhar ke vo dekhtā hai mujhe

    is matlab visāl thoḌī hai

    jaao naḳhvat tumheñ mubārak ho

    husn vāloñ kaal thoḌī hai

    hijr mashvara mufīd hogā

    dost hai bad-sigāl thoḌī hai

    bose ab lenā chhoḌiye sāhab

    gul hai ye us gaal thoḌī hai

    un nazar-e-karam meñ shāmil huuñ

    is meñ merā kamāl thoḌī hai

    use andhā bhī dekh saktā hai

    ye badar hai hilāl thoḌī hai

    ḳhaak miTTī tale dabā.ī ga.ī

    ruuh intiqāl thoḌī hai

    ḳhvāb chubhte rahe haiñ āñkhoñ meñ

    rang vaise laal thoḌī hai

    fikr lāhiq hai rozī-roTī

    mujh ko terā ḳhayāl thoḌī hai

    saañs ūñchā luuñ maiñ madīne meñ

    merī itnī majāl thoḌī hai

    us se bachnā muhāl hai yaaro

    mere dushman chaal thoḌī hai

    dil ko Thokar zarā lag ga.ī hai

    is matlab zavāl thoḌī hai

    chhīn saktā nahīñ koī mujh se

    'ilm hai ye manāl thoḌī hai

    saare 'ushshāq shaad phirte haiñ

    ye barahman saal thoḌī hai

    jab bhī chāho uThā do 'zamzam' ko

    ye faqīroñ baal thoḌī hai

    ek wahi KHush-jamal thoDi hai

    husn walon ka kal thoDi hai

    tazkira be-wafa ka ho raha hai

    ye tumhaari misal thoDi hai

    ye jo hijrat hai 'arzi hai janab

    mustaqil intiqal thoDi hai

    dard-e-hijran ne ye kiya sabit

    har kisi ko zawal thoDi hai

    kyun tujhe shamil-e-darud karun

    to mohammad ki aal thoDi hai

    tujhe apna samajh ke manga hai

    har kisi se sawal thoDi hai

    kya zaruri hai sab zaban se kahun

    chashm-e-pur-nam ka haal thoDi hai

    ye mohabbat rahegi mahshar tak

    ek shab ka visal thoDi hai

    aankh bhar ke wo dekhta hai mujhe

    is ka matlab visal thoDi hai

    jao naKHwat tumhein mubarak ho

    husn walon ka kal thoDi hai

    hijr ka mashwara mufid hoga

    dost hai bad-sigal thoDi hai

    bose ab lena chhoDiye sahab

    gul hai ye us ka gal thoDi hai

    un ki nazar-e-karam mein shamil hun

    is mein mera kamal thoDi hai

    use andha bhi dekh sakta hai

    ye badar hai hilal thoDi hai

    KHak miTTi tale dabai gai

    ruh ka intiqal thoDi hai

    KHwab chubhte rahe hain aankhon mein

    rang waise hi lal thoDi hai

    fikr lahiq hai rozi-roTi ki

    mujh ko tera KHayal thoDi hai

    sans uncha lun main madine mein

    meri itni majal thoDi hai

    us se bachna muhaal hai yaro

    mere dushman ki chaal thoDi hai

    dil ko Thokar zara si lag gai hai

    is ka matlab zawal thoDi hai

    chhin sakta nahin koi mujh se

    'ilm hai ye manal thoDi hai

    sare 'ushshaq shad phirte hain

    ye barahman ka sal thoDi hai

    jab bhi chaho uTha do 'zamzam' ko

    ye faqiron ka baal thoDi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now