Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jage se kitne ghar dekhe raat ki KHamushi mein

Vandana Bhardwaj Tiwary Vani

jage se kitne ghar dekhe raat ki KHamushi mein

Vandana Bhardwaj Tiwary Vani

MORE BYVandana Bhardwaj Tiwary Vani

    jaage se kitne ghar dekhe raat ḳhāmushī meñ

    dīvār pe saa.e to the raat ḳhāmushī meñ

    gul-būTe aur baaġh jab so jaate haiñ ḳhvāboñ ko oḌhe

    tab raat raanī ḳhushbū de raat ḳhāmushī meñ

    din bhar ḳhud apnī lagā.ī ātish meñ dil jal rahā thā

    ab sham.a bujh rahā hai ye raat ḳhāmushī meñ

    tanhā.ī meñ chubhte haiñ jab yādoñ ke nashtar se aksar

    goshe meñ ham rote haiñ khul ke raat ḳhāmushī meñ

    gar niiñd hai to phir in jaltī āñkhoñ meñ utar aa

    gar maut hai to le chal yaañ se raat ḳhāmushī meñ

    kaaTī nahīñ jaatī ab mujh se hijr lambī rāteñ

    koī mire dil ko bahlā de raat ḳhāmushī meñ

    ho jhiil meñ chāñd utrā ḳhvāb meñ khoī 'vānī'

    sab apne ashk se bhīge raat ḳhāmushī meñ

    jage se kitne ghar dekhe raat ki KHamushi mein

    diwar pe sae hi to the raat ki KHamushi mein

    gul-buTe aur bagh jab so jate hain KHwabon ko oDhe

    tab raat rani hi KHushbu de raat ki KHamushi mein

    din bhar KHud apni lagai aatish mein dil jal raha tha

    ab shama sa bujh raha hai ye raat ki KHamushi mein

    tanhai mein chubhte hain jab yaadon ke nashtar se aksar

    goshe mein hum rote hain khul ke raat ki KHamushi mein

    gar nind hai to phir in jalti aankhon mein tu utar aa

    gar maut hai to le chal yan se raat ki KHamushi mein

    kaTi nahin jati ab mujh se hijr ki lambi raaten

    koi mere dil ko bahla de raat ki KHamushi mein

    ho jhil mein chand utra ya KHwab mein khoi 'wani'

    sab apne hi ashk se bhige raat ki KHamushi mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now